apne liye ek nauha
achchhī tarah dekh chukā huuñ
maiñ maqtūloñ meñ nahīñ
is liye merā shumār qātiloñ meñ kiyā jaanā chāhiye
ye ibādat-gāheñ jis kā ghar kahī jaatī haiñ
merī ek dost
use talāsh kar rahī hai
use ab tak ye ittilā.a nahīñ milī
ki vo ek lambe safar par jā chukā hai
vo mar chukā hai
ye raaz to ek pāgal ne bhī jaan liyā thā
raat to kyā
use DhūñDne ke liye
din meñ bhī
kisī kī koī madad nahīñ kar sakte
charāg
tumhāre paas search-lighteñ haiñ
to unheñ lagā kar dekh lo
shāh-ragoñ ke ās-pās
tez-rau ḳhush-fahmiyoñ par savār
kahāñ kahāñ jāoge
ek murde ke ghar meñ
dāvat par jaane vāloñ kī mezbānī
maut nahīñ karegī to kaun karegā
achchhi tarah dekh chuka hun
main maqtulon mein nahin
is liye mera shumar qatilon mein kiya jaana chahiye
ye ibaadat-gahen jis ka ghar kahi jati hain
meri ek dost
use talash kar rahi hai
use ab tak ye ittilaa nahin mili
ki wo ek lambe safar par ja chuka hai
wo mar chuka hai
ye raaz to ek pagal ne bhi jaan liya tha
raat to kya
use DhunDne ke liye
din mein bhi
kisi ki koi madad nahin kar sakte
charag
tumhaare pas search-lighten hain
to unhen laga kar dekh lo
shah-ragon ke aas-pas
tez-rau KHush-fahmiyon par sawar
kahan kahan jaoge
ek murde ke ghar mein
dawat par jaane walon ki mezbani
maut nahin karegi to kaun karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.