apne qatil ke liye ek nazm
agar mere siine meñ ḳhanjar utāro
to ye soch lenā
havā kā koī jism hotā nahīñ hai
havā to ravānī hai
umroñ ke bahte samundar kī
lambī kahānī hai
āġhāz jis kā na anjām jis kā
agar mere siine meñ ḳhanjar utāro
to ye soch lenā
havā maut se māvarā hai
havā maañ ke hāthoñ kī thapkī
huā loriyoñ kī sadā hai
havā nanhe bachchoñ ke hoñToñ se
niklī duā hai
agar mere sine mein KHanjar utaro
to ye soch lena
hawa ka koi jism hota nahin hai
hawa to rawani hai
umron ke bahte samundar ki
lambi kahani hai
aaghaz jis ka na anjam jis ka
agar mere sine mein KHanjar utaro
to ye soch lena
hawa maut se mawara hai
hawa man ke hathon ki thapki
hua loriyon ki sada hai
hawa nanhe bachchon ke honTon se
nikli dua hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 239)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.