apne shahr ke liye dua
ai shahr-e-be-misāl tire bām-o-dar kī ḳhair
ai husn-e-lā-zavāl tire bām-o-dar kī ḳhair
dekhe haiñ tū ne duur bahut āsmān ke
biite haiñ tujh pe ahd bahut imtihān ke
ai qarya-e-jalāl tire bām-o-dar kī ḳhair
ik dāstāñ hai saath tire rañg-o-nūr kī
yādeñ haiñ tere saath bahut duur duur kī
ḳhvāb-e-shab-e-jamāl tire bām-e-dar kī ḳhair
tasḳhīr tujh ko kaun karegā jahān meñ
tū hai ḳhudā aur us ke nabī kī amaan meñ
lahore-e-pur-kamāl tire bām-o-dar kī ḳhair
ai shahr-e-be-misal tere baam-o-dar ki KHair
ai husn-e-la-zawal tere baam-o-dar ki KHair
dekhe hain tu ne dur bahut aasman ke
bite hain tujh pe ahd bahut imtihan ke
ai qarya-e-jalal tere baam-o-dar ki KHair
ek dastan hai sath tere rang-o-nur ki
yaaden hain tere sath bahut dur dur ki
KHwab-e-shab-e-jamal tere baam-e-dar ki KHair
tasKHir tujh ko kaun karega jahan mein
tu hai KHuda aur us ke nabi ki aman mein
lahore-e-pur-kamal tere baam-o-dar ki KHair
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 233)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.