apni ham-zad ke liye
ye mire rū-ba-rū kaun hai?
jism o jaañ chīthḌe karne vaalī mirī jaañ
tū mirī kaun hai???
terī aaheñ mirī terī chīḳheñ mirī
tere zaḳhmoñ kī aahaT mire jism par
dard sah ke mujhe zindagī dene vaalī mirī jaañ
tū mirī kaun hai?
jabr tujh ko mile ḳhauf us kokh meñ
hijr tū ne piye zahr us soch meñ
resmāñ bāñdh kar pañkhuḌī dene vaalī mirī jaañ
tū mirī kaun hai???
tū sahar kī vo bāñkī adā jis ko din khā gayā
vo mire dil kī ujḌī duā jis ko dil Dhā gayā
raat din sard lamhoñ ke tezāb meñ galne vaalī mirī jaañ
tū mirī kaun hai??
tū pighaltī rahī
aag is dil meñ jaltī rahī
harf Dhalte rahe shaam hāthoñ ko miltī rahī
raqs kar ke mujhe aable dene vaalī mirī jaañ
tū mirī kaun hai???
ye mere ru-ba-ru kaun hai?
jism o jaan chithDe karne wali meri jaan
tu meri kaun hai???
teri aahen meri teri chiKHen meri
tere zaKHmon ki aahaT mere jism par
dard sah ke mujhe zindagi dene wali meri jaan
tu meri kaun hai?
jabr tujh ko mile KHauf us kokh mein
hijr tu ne piye zahr us soch mein
resman bandh kar pankhuDi dene wali meri jaan
tu meri kaun hai???
tu sahar ki wo banki ada jis ko din kha gaya
wo mere dil ki ujDi dua jis ko dil Dha gaya
raat din sard lamhon ke tezab mein galne wali meri jaan
tu meri kaun hai??
tu pighalti rahi
aag is dil mein jalti rahi
harf Dhalte rahe sham hathon ko milti rahi
raqs kar ke mujhe aable dene wali meri jaan
tu meri kaun hai???
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.