apni malka-e-suKHan se
Interesting Fact
A few stanzas of the poem 'Etiraaf-e-ehsaan' was recited by the Bollywood thespian Dilip Kumar at a Mushaira in Dubai.
ai sham-e-'josh' o mash.al-e-aivān-e-ārzū
ai mehr-e-nāz o māh-e-shabistān-e-ārzū
ai jān-e-dard-mandī o īmān-e-ārzū
ai sham-e-tūr o yūsuf-e-kan.ān-e-ārzū
zarre ko āftāb to kāñTe ko phuul kar
ai rūh-e-sher sajda-e-shā.ir qubūl kar
dariyā kā moḌ naġhma-e-shīrīñ kā zer-o-bam
chādar shab-e-nujūm kī shabnam kā raḳht-e-nam
titlī kā nāz-e-raqs ġhazāla kā husn-e-ram
motī kī aab gul kī mahak māh-e-nau kā ḳham
in sab ke imtizāj se paidā huī hai tū
kitne hasīñ ufuq se huvaidā huī hai tū
hotā hai mah-vashoñ kā vo aalam tire huzūr
jaise charāġh-e-murdā sar-e-bazm-e-sham-e-tūr
aa kar tirī janāb meñ ai kār-sāz-e-nūr
palkoñ meñ muñh chhupāte haiñ jheñpe hue ġhurūr
aatī hai ek lahr sī chehroñ par aah kī
āñkhoñ meñ chhūT jaatī haiñ nabzeñ nigāh kī
raftār hai ki chāñdnī rātoñ meñ mauj-e-gañg
yā bhairvīñ kī pichhle pahar qalb meñ umang
ye kākuloñ kī taab hai ye ārizoñ kā rang
jis tarah jhuTpuTe meñ shab-o-roz kī tarañg
rū-e-mubīñ na gesū-e-sumbul-qavām hai
vo barhaman kī sub.h ye saaqī kī shaam hai
āvāz meñ ye ras ye latāfat ye iztirār
jaise subuk mahīn ravāñ reshmī phuvār
lahje meñ ye khaTak hai ki hai neshtar kī dhaar
aur gir rahā hai dhaar se shabnam kā ābshār
chahkī jo tū chaman meñ havā.eñ mahak ga.iiñ
gul-barg-e-tar se os kī būñdeñ Tapak ga.iiñ
jaadū hai terī saut kā gul par hazār par
jaise nasīm-e-sub.h kī rau jū-e-bār par
nāḳhun kisī nigār kā chāñdī ke taar par
mizrāb-e-aks-e-qaus rag-e-ābshār par
maujeñ sabā kī baaġh pe sahbā chhiḌak ga.iiñ
jumbish huī laboñ ko to kaliyāñ chaTak ga.iiñ
chashm-e-siyāh meñ vo talātum hai nuur kā
jaise sharāb-e-nāb meñ jauhar surūr kā
yā chahchahoñ ke vaqt tamavvuj tuyūr kā
bāñdhe hue nishāna koī jaise duur kā
har mauj-e-ra.g-e-qāmat-e-gul-rez ram meñ hai
goyā sharāb-e-tund bilorīñ qalam meñ hai
tujh se nazar milā.e ye kis kī bhalā majāl
tere qadam kā naqsh hasīnoñ ke ḳhadd-o-ḳhāl
allāh re tere husn-e-malak-soz kā jalāl
jab dekhtī haiñ ḳhuld se hūreñ tirā jamāl
partav se tere chehra-e-parvīñ-sarisht ke
ghabrā ke band kartī haiñ ġhurfe bahisht ke
chehre ko rang-o-nūr kā tūfāñ kiye hue
sham-o-sharāb-o-sh.er kā unvāñ kiye hue
har naqsh-e-pā ko tāj-e-gulistāñ kiye hue
sau tuur ik nigāh meñ pinhāñ kiye hue
aatī hai tū chaman meñ jab is tarz-o-taur se
gul dekhte haiñ baaġh meñ bulbul ko ġhaur se
mere bayāñ meñ sehr-bayānī tujhī se hai
rū-e-suḳhan pe ḳhūn-e-javānī tujhī se hai
lafzoñ meñ raqs-o-rañg-o-ravānī tujhī se hai
faqr-e-gadā meñ farr-e-kiyānī tujhī se hai
fidvī ke is uruuj pe kartī hai ġhaur kyā
terī hī jūtiyoñ kā tasadduq hai aur kyā
ai kirdgār-e-mā'nī o ḳhallāq-e-sher-e-tar
ai jān-e-zauq o muhsina-e-lailī-e-hunar
khul jaa.e gar ye baat ki urdu zabān par
terī nigāh-e-nāz kā ehsāñ hai kis qadar
chāroñ taraf se na.ara-e-salle-alā uThe
tere mujassamoñ se zamīñ jagmagā uThe
mere hunar meñ sarf huī hai tirī nazar
ḳhema hai mere naam kā bālā-e-bahr-o-bar
shohrat kī bazm tujh se munavvar nahīñ magar
farq-e-gadā pe taaj hai sultāñ barahna-sar
parvāne ko vo kaun hai jo māntā nahīñ
aur sham.a kis taraf hai koī jāntā nahīñ
dil terī bazm-e-nāz meñ jab se hai bāryāb
har ḳhaar ek gul hai to har zarra āftāb
ik lashkar-e-nashāt hai har ġham ke ham-rikāb
zer-e-nagīñ hai ālam-e-tāmkīn-o-iztirāb
bād-e-murād o chashmak-e-tūfāñ liye hue
huuñ bū-e-zulf-o-jumbish-e-mizhgāñ liye hue
tere laboñ se chashma-e-haivāñ mirā kalām
terī laToñ se mauja-e-tūfāñ mirā kalām
terī nazar se tūr-e-ba-dāmāñ mirā kalām
tere suḳhan se naġhma-e-yazdāñ mirā kalām
tū hai payām-e-ālam-e-bālā mire liye
ik vahī-e-zī-hayāt hai goyā mire liye
ai māh-e-she.r-parvar o mehr-e-suḳhan-varī
ai āb-o-rañg-e-'hāfiz' o ai husn-e-'anvarī'
tū ne hī sabt kī hai ba-sad nāz-e-dāvarī
mere suḳhan kī pusht pe mohr-e-payambarī
terī shamīm-e-zulf kī daulat liye hue
merā nafas hai bū-e-risālat liye hue
dur-hā-e-āb-dār o sharar-hā-e-dil-nashīñ
shab-hā-e-talḳh-o-tursh o sahar-hā-e-shakkarīñ
aql-e-nashāt-ḳhez o junūn-e-ġham-āfrīñ
daulat vo kaun hai jo mirī jeb meñ nahīñ
Takrā.ī jab bhī mujh se ḳhajil sarvarī huī
yuuñ hai tire faqīr kī jholī bharī huī
naġhme pale haiñ daulat-e-guftār se tirī
paayā hai nutq chashm-e-suḳhan-bār se tirī
tāqat hai dil meñ nargis-e-bīmār se tirī
kyā kyā milā hai 'josh' ko sarkār se tirī
bāñke ḳhayāl haiñ ḳham-e-gardan liye hue
har sher kī kalā.ī hai kañgan liye hue
ai lailī-e-nahufta o ai husn-e-sharmagīñ
tujh par nisār daulat-e-duniyā matā-e-dīñ
mansūb mujh se hai jo ba-andāz-e-dil-nashīñ
terī vo shā.irī hai mirī shā.irī nahīñ
āvāza charḳh par hai jo is dard-mañd kā
goyā vo aks hai tire qadd-e-buland kā
mere bayāñ meñ ye jo vafūr-e-surūr hai
tāq-e-suḳhan-varī meñ jo ye sham-e-tūr hai
ye jo mire charāġh kī zau duur duur hai
sarkār hī kī mauj-e-tabassum kā nuur hai
sheroñ meñ karvaTeñ ye nahīñ soz-o-sāz kī
lahreñ haiñ ye huzūr kī zulf-e-darāz kī
mujh rind-e-husn-kār kī mai-ḳhvāriyāñ na pūchh
is ḳhvāb-e-jāñ-faroz kī bedāriyāñ na pūchh
kartī hai kyuuñ sharāb ḳhirad-bāriyāñ na pūchh
be-hoshiyoñ meñ kyuuñ hai ye hushyāriyāñ na pūchh
piitā huuñ vo jo zulf kī rangīñ ghaTāoñ meñ
khiñchtī hai un ghanī huī palkoñ kī chhāñv meñ
hushyār is liye huuñ ki mai-ḳhvār huuñ tirā
sayyād-e-sher huuñ ki giraftār huuñ tirā
lahja malīh hai ki namak-ḳhvār huuñ tirā
sehhat zabān meñ hai ki bīmār huuñ tirā
tere karam se sher-o-adab kā imaam huuñ
shāhoñ pe ḳhanda-zan huuñ ki terā ġhulām huuñ
maiñ vo huuñ jis ke ġham ne tire dil meñ raah kī
ik umr jis ke ishq meñ ḳhud tū ne aah kī
soyā hai shauq sej pe terī nigāh kī
rāteñ kaTī haiñ saa.e meñ chashm-e-siyāh kī
kyuuñ kar na shāḳh-e-gul kī lachak ho bayān meñ
terī kamar kā loch hai merī zabān meñ
tarshe hue laboñ ke bahakte ḳhitāb se
zartār kākuloñ ke mahakte sahāb se
sarshār añkhḌiyoñ ke dahakte shabāb se
mauj-e-nafs ke itr se mukhḌe kī aab se
bārah baras tapā ke zamāna suhāg kā
sīñchā hai tū ne baaġh mire dil kī aag kā
garmī se jis kī barf kā devtā Dare vo aag
sho.aloñ meñ os ko jo mubaddal kare vo aag
lau se jo zamharīr kā dāman bhare vo aag
had hai jo naam nār-e-saqar par dhare vo aag
jis kī lapaT gale meñ jalātī hai raag ko
paalā hai qalb-e-nāz meñ tū ne us aag ko
ai sham-e-'josh' o mashal-e-aiwan-e-arzu
ai mehr-e-naz o mah-e-shabistan-e-arzu
ai jaan-e-dard-mandi o iman-e-arzu
ai sham-e-tur o yusuf-e-kanan-e-arzu
zarre ko aaftab to kanTe ko phul kar
ai ruh-e-sher sajda-e-shair qubul kar
dariya ka moD naghma-e-shirin ka zer-o-bam
chadar shab-e-nujum ki shabnam ka raKHt-e-nam
titli ka naz-e-raqs ghazala ka husn-e-ram
moti ki aab gul ki mahak mah-e-nau ka KHam
in sab ke imtizaj se paida hui hai tu
kitne hasin ufuq se huwaida hui hai tu
hota hai mah-washon ka wo aalam tere huzur
jaise charagh-e-murda sar-e-bazm-e-sham-e-tur
aa kar teri janab mein ai kar-saz-e-nur
palkon mein munh chhupate hain jhenpe hue ghurur
aati hai ek lahr si chehron par aah ki
aankhon mein chhuT jati hain nabzen nigah ki
raftar hai ki chandni raaton mein mauj-e-gang
ya bhairwin ki pichhle pahar qalb mein umang
ye kakulon ki tab hai ye aarizon ka rang
jis tarah jhuTpuTe mein shab-o-roz ki tarang
ru-e-mubin na gesu-e-sumbul-qawam hai
wo barhaman ki subh ye saqi ki sham hai
aawaz mein ye ras ye latafat ye iztirar
jaise subuk mahin rawan reshmi phuwar
lahje mein ye khaTak hai ki hai neshtar ki dhaar
aur gir raha hai dhaar se shabnam ka aabshaar
chahki jo tu chaman mein hawaen mahak gain
gul-barg-e-tar se os ki bunden Tapak gain
jadu hai teri saut ka gul par hazar par
jaise nasim-e-subh ki rau ju-e-bar par
naKHun kisi nigar ka chandi ke tar par
mizrab-e-aks-e-qaus rag-e-abshaar par
maujen saba ki bagh pe sahba chhiDak gain
jumbish hui labon ko to kaliyan chaTak gain
chashm-e-siyah mein wo talatum hai nur ka
jaise sharab-e-nab mein jauhar surur ka
ya chahchahon ke waqt tamawwuj tuyur ka
bandhe hue nishana koi jaise dur ka
har mauj-e-rag-e-qamat-e-gul-rez ram mein hai
goya sharab-e-tund bilorin qalam mein hai
tujh se nazar milae ye kis ki bhala majal
tere qadam ka naqsh hasinon ke KHadd-o-KHal
allah re tere husn-e-malak-soz ka jalal
jab dekhti hain KHuld se huren tera jamal
partaw se tere chehra-e-parwin-sarisht ke
ghabra ke band karti hain ghurfe bahisht ke
chehre ko rang-o-nur ka tufan kiye hue
sham-o-sharab-o-sher ka unwan kiye hue
har naqsh-e-pa ko taj-e-gulistan kiye hue
sau tur ek nigah mein pinhan kiye hue
aati hai tu chaman mein jab is tarz-o-taur se
gul dekhte hain bagh mein bulbul ko ghaur se
mere bayan mein sehr-bayani tujhi se hai
ru-e-suKHan pe KHun-e-jawani tujhi se hai
lafzon mein raqs-o-rang-o-rawani tujhi se hai
faqr-e-gada mein farr-e-kiyani tujhi se hai
fidwi ke is uruj pe karti hai ghaur kya
teri hi jutiyon ka tasadduq hai aur kya
ai kirdgar-e-ma'ni o KHallaq-e-sher-e-tar
ai jaan-e-zauq o muhsina-e-laili-e-hunar
khul jae gar ye baat ki urdu zaban par
teri nigah-e-naz ka ehsan hai kis qadar
chaaron taraf se nara-e-salle-ala uThe
tere mujassamon se zamin jagmaga uThe
mere hunar mein sarf hui hai teri nazar
KHema hai mere nam ka baala-e-bahr-o-bar
shohrat ki bazm tujh se munawwar nahin magar
farq-e-gada pe taj hai sultan barahna-sar
parwane ko wo kaun hai jo manta nahin
aur shama kis taraf hai koi jaanta nahin
dil teri bazm-e-naz mein jab se hai baryab
har KHar ek gul hai to har zarra aaftab
ek lashkar-e-nashat hai har gham ke ham-rikab
zer-e-nagin hai aalam-e-tamkin-o-iztirab
baad-e-murad o chashmak-e-tufan liye hue
hun bu-e-zulf-o-jumbish-e-mizhgan liye hue
tere labon se chashma-e-haiwan mera kalam
teri laTon se mauja-e-tufan mera kalam
teri nazar se tur-e-ba-daman mera kalam
tere suKHan se naghma-e-yazdan mera kalam
tu hai payam-e-alam-e-baala mere liye
ek wahi-e-zi-hayat hai goya mere liye
ai mah-e-sher-parwar o mehr-e-suKHan-wari
ai aab-o-rang-e-'hafiz' o ai husn-e-'anwari'
tu ne hi sabt ki hai ba-sad naz-e-dawari
mere suKHan ki pusht pe mohr-e-payambari
teri shamim-e-zulf ki daulat liye hue
mera nafas hai bu-e-risalat liye hue
dur-ha-e-ab-dar o sharar-ha-e-dil-nashin
shab-ha-e-talKH-o-tursh o sahar-ha-e-shakkarin
aql-e-nashat-KHez o junun-e-gham-afrin
daulat wo kaun hai jo meri jeb mein nahin
Takrai jab bhi mujh se KHajil sarwari hui
yun hai tere faqir ki jholi bhari hui
naghme pale hain daulat-e-guftar se teri
paya hai nutq chashm-e-suKHan-bar se teri
taqat hai dil mein nargis-e-bimar se teri
kya kya mila hai 'josh' ko sarkar se teri
banke KHayal hain KHam-e-gardan liye hue
har sher ki kalai hai kangan liye hue
ai laili-e-nahufta o ai husn-e-sharmagin
tujh par nisar daulat-e-duniya mata-e-din
mansub mujh se hai jo ba-andaz-e-dil-nashin
teri wo shairi hai meri shairi nahin
aawaza charKH par hai jo is dard-mand ka
goya wo aks hai tere qadd-e-buland ka
mere bayan mein ye jo wafur-e-surur hai
taq-e-suKHan-wari mein jo ye sham-e-tur hai
ye jo mere charagh ki zau dur dur hai
sarkar hi ki mauj-e-tabassum ka nur hai
sheron mein karwaTen ye nahin soz-o-saz ki
lahren hain ye huzur ki zulf-e-daraaz ki
mujh rind-e-husn-kar ki mai-KHwariyan na puchh
is KHwab-e-jaan-faroz ki bedariyan na puchh
karti hai kyun sharab KHirad-bariyan na puchh
be-hoshiyon mein kyun hai ye hushyariyan na puchh
pita hun wo jo zulf ki rangin ghaTaon mein
khinchti hai un ghani hui palkon ki chhanw mein
hushyar is liye hun ki mai-KHwar hun tera
sayyaad-e-sher hun ki giraftar hun tera
lahja malih hai ki namak-KHwar hun tera
sehhat zaban mein hai ki bimar hun tera
tere karam se sher-o-adab ka imam hun
shahon pe KHanda-zan hun ki tera ghulam hun
main wo hun jis ke gham ne tere dil mein rah ki
ek umr jis ke ishq mein KHud tu ne aah ki
soya hai shauq sej pe teri nigah ki
raaten kaTi hain sae mein chashm-e-siyah ki
kyun kar na shaKH-e-gul ki lachak ho bayan mein
teri kamar ka loch hai meri zaban mein
tarshe hue labon ke bahakte KHitab se
zartar kakulon ke mahakte sahab se
sarshaar ankhDiyon ke dahakte shabab se
mauj-e-nafs ke itr se mukhDe ki aab se
barah baras tapa ke zamana suhag ka
sincha hai tu ne bagh mere dil ki aag ka
garmi se jis ki barf ka dewta Dare wo aag
shoalon mein os ko jo mubaddal kare wo aag
lau se jo zamharir ka daman bhare wo aag
had hai jo nam nar-e-saqar par dhare wo aag
jis ki lapaT gale mein jalati hai rag ko
pala hai qalb-e-naz mein tu ne us aag ko
- Book : Kulliyat-e-Josh Maleeh aabadi (Pg. 995)
- Author : Mohammad Nasir Khan Dr. Asmat Maleeh Abadi
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.