apni marhuma man ke liye chand lafz
mirī ammī
mujhe schōl jaane ke liye tayyār kartī thī
mire juute
mirā basta
mirī vardī
sabhī kuchh us kī almārī meñ rakkhā thā
mire baste meñ rakkhā lunch
biscuit
toffiyāñ
aur toast
jab yūñhī binā khaa.e kabhī ghar lauTtā to ek ġhusse se bharī āvāz aur phir chand lamhoñ ke liye
vo ruuTh jaatī thī
magar jab vo mirī āñkhoñ meñ aañsū dekhtī to maan jaatī thī
maiñ Dartā thā
kabhī bāzār meñ jaatā to unglī thaam rakhtā thā
mujhe lagtā agar mujh se ye unglī chhūT jā.egī
to maiñ kho jā.uñgā
khone kā Dar chālīs sāloñ tak mire dil meñ rahā
aur maiñ ne ik lamha bhī vo unglī nahīñ chhoḌī
magar ik roz jab us ne mire mazbūt hāthoñ
meñ
ye duniyā chhoḌ dī
merī bhī uñglī kaT ga.ī
ye zindagī jo ek dil meñ mujtam.a thī saiñkaḌoñ TukḌoñ ke andar baT ga.ī
meri ammi
mujhe school jaane ke liye tayyar karti thi
mere jute
mera basta
meri wardi
sabhi kuchh us ki almari mein rakkha tha
mere baste mein rakkha lunch
biscuit
toffiyan
aur toast
jab yunhi bina khae kabhi ghar lauTta to ek ghusse se bhari aawaz aur phir chand lamhon ke liye
wo ruTh jati thi
magar jab wo meri aankhon mein aansu dekhti to man jati thi
main Darta tha
kabhi bazar mein jata to ungli tham rakhta tha
mujhe lagta agar mujh se ye ungli chhuT jaegi
to main kho jaunga
khone ka Dar chaalis salon tak mere dil mein raha
aur main ne ek lamha bhi wo ungli nahin chhoDi
magar ek roz jab us ne mere mazbut hathon
mein
ye duniya chhoD di
meri bhi ungli kaT gai
ye zindagi jo ek dil mein mujtama thi sainkaDon TukDon ke andar baT gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.