apni sal-girah par
ga.e barsoñ ik hāsil kyaa!
faqat ik mom-battī tīn-sau-paiñsaTh dinoñ meñ
cake ke ziine pe chaḌhtī hai
zarā sī phūñk par ham-rāhiyoñ ke saath bujhtī hai
dhuāñ chakrā ke roshan-dān se bāhar nikaltā hai
chhurī kī dhaar se kitne baras kāTūñ!
havā kā āshnā chehrā mirī āñkhoñ meñ rahtā hai
ga.e lamhoñ ko dohrātī havā tarz-e-mohabbat hai
vo aa.e to na.e lamhoñ kī rassī thaam kar chal duuñ
kahīñ andar rukī phūñkeñ laboñ tak aa.eñ
to ye battiyāñ gul hoñ
abhī kal ke darīche khul nahīñ paa.e
manāzir dhund meñ haiñ
āñsuoñ se dhul nahīñ paa.e
gae barson ek hasil kya!
faqat ek mom-batti tin-sau-painsaTh dinon mein
cake ke zine pe chaDhti hai
zara si phunk par ham-rahiyon ke sath bujhti hai
dhuan chakra ke roshan-dan se bahar nikalta hai
chhuri ki dhaar se kitne baras kaTun!
hawa ka aashna chehra meri aankhon mein rahta hai
gae lamhon ko dohraati hawa tarz-e-mohabbat hai
wo aae to nae lamhon ki rassi tham kar chal dun
kahin andar ruki phunken labon tak aaen
to ye battiyan gul hon
abhi kal ke dariche khul nahin pae
manazir dhund mein hain
aansuon se dhul nahin pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.