maiñ apne ghaao gin rahā huuñ
duur titliyoñ ke reshmī paroñ ke niile piile rañg
uḌ rahe haiñ har taraf
farishte āsmān se utar rahe haiñ saf-ba-saf
maiñ apne ghaao gin rahā huuñ
āñsuoñ kī os meñ nahā ke bhūle-bisre ḳhvāb aa ga.e
ḳhuun kā dabāo aur kam huā
nahīf jism par kisī ke nāḳhunoñ ke āḌe-tirchhe naqsh
jagmagā uThe
laboñ pe luknatoñ kī barf jam ga.ī
tavīl hichkiyoñ kā ek silsila
fazā meñ hai
lahū kī bū havā meñ hai
main apne ghao gin raha hun
dur titliyon ke reshmi paron ke nile pile rang
uD rahe hain har taraf
farishte aasman se utar rahe hain saf-ba-saf
main apne ghao gin raha hun
aansuon ki os mein naha ke bhule-bisre KHwab aa gae
KHun ka dabao aur kam hua
nahif jism par kisi ke naKHunon ke aaDe-tirchhe naqsh
jagmaga uThe
labon pe luknaton ki barf jam gai
tawil hichkiyon ka ek silsila
faza mein hai
lahu ki bu hawa mein hai
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 202)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.