apollo-das
apalo das ye kahtā hai
nahīñ ab duur vo manzil
ki jab mahtāb kī vaadī
banegī khel kī mahfil
ye zarrīñ kāmyābī bhī
hamārī hī badaulat hai
milegā chāñd phūloñ se
ki dhartī ek jannat hai
abhī to chāñd haarā hai
sitāre aur hāreñge
zamīñ ham ne sajā.ī hai
falak bhī ham sañvāreñge
buzurgoñ kī nigāhoñ meñ
ye sab kuchh ek jaadū hai
magar ab vahm-e-sābiq par
na.ī duniyā ko qaabū hai
mubārak koshish-e-hāzir
ki mustaqbil hamārā hai
zamīñ ke phuul apne haiñ
mah-e-kāmil hamārā hai
apalo das ye kahta hai
nahin ab dur wo manzil
ki jab mahtab ki wadi
banegi khel ki mahfil
ye zarrin kaamyabi bhi
hamari hi badaulat hai
milega chand phulon se
ki dharti ek jannat hai
abhi to chand haara hai
sitare aur haarenge
zamin hum ne sajai hai
falak bhi hum sanwarenge
buzurgon ki nigahon mein
ye sab kuchh ek jadu hai
magar ab wahm-e-sabiq par
nai duniya ko qabu hai
mubarak koshish-e-hazir
ki mustaqbil hamara hai
zamin ke phul apne hain
mah-e-kaamil hamara hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.