april bahaar ka istiqbaal karta hai
faroġh-e-shādābī-e-chaman ko mahaktī miTTī se phuuT niklā hai narm sabza
harīs-e-taḳhlīq nam zamīñ ne guloñ se dāman udaas beloñ ke bhar diye haiñ
ajiib rut hai! ki būḌhī shāḳhoñ meñ saañs letā hai sabz jauban
ḳhayāloñ, ḳhvāboñ kī rahguzar par chaTak rahī haiñ hazār kaliyāñ
nigāh-e-dil ke gazīda goshe rahīn-e-nik.hat
fazā kī poroñ meñ jaag uTThī hai bhīnī ḳhushbū, havā ke hāthoñ meñ raushnī ke jaḌāv kañgan
havā ke pairoñ meñ raqs karne lage haiñ ghuñgrū
parinde rañgīn shaam oḌhe shafaq kī surḳhī se khelte haiñ
damakte paanī meñ ġhusl karte haiñ chāñd taare
nahātī kaliyoñ kī be-libāsī ko kitnī hairat se dekhtā hai
nafīs pattoñ kī shaal oḌhe ghanerā jañgal
gulāb ke surḳh pairahan par, safed phūloñ kī pattiyoñ par!
samā.at-e-shab meñ sabt kartī hai os yuuñ jal-tarañg naġhme
ki giit vo jo azal se be-kal fazā meñ gum the
utarne lagte haiñ dhaḌkanoñ kī hasīn lai par, mohabbatoñ ke amiin ban kar
milan kī aisī sabīh rut meñ husn detā aap dastak
tumhāre dar par...
farogh-e-shadabi-e-chaman ko mahakti miTTi se phuT nikla hai narm sabza
haris-e-taKHliq nam zamin ne gulon se daman udas belon ke bhar diye hain
ajib rut hai! ki buDhi shaKHon mein sans leta hai sabz jauban
KHayalon, KHwabon ki rahguzar par chaTak rahi hain hazar kaliyan
nigah-e-dil ke gazida goshe rahin-e-nikhat
faza ki poron mein jag uTThi hai bhini KHushbu, hawa ke hathon mein raushni ke jaDaw kangan
hawa ke pairon mein raqs karne lage hain ghungru
parinde rangin sham oDhe shafaq ki surKHi se khelte hain
damakte pani mein ghusl karte hain chand tare
nahati kaliyon ki be-libasi ko kitni hairat se dekhta hai
nafis patton ki shaal oDhe ghanera jangal
gulab ke surKH pairahan par, safed phulon ki pattiyon par!
samaat-e-shab mein sabt karti hai os yun jal-tarang naghme
ki git wo jo azal se be-kal faza mein gum the
utarne lagte hain dhaDkanon ki hasin lai par, mohabbaton ke amin ban kar
milan ki aisi sabih rut mein husn deta aap dastak
tumhaare dar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.