aqd-name
aaj unhoñ ne ailān kar hī diyā
dekho!
ham ne tumhārī sab kī sab quvvatoñ kā faisla kiyā thā
qīl-o-qāl kī gunjā.ish baaqī nahīñ hai
tumhāre iqrār-nāme hamāre paas mahfūz haiñ
tum se pahle vāloñ kī ḳhatā yahī thī
ki unheñ,
apnī naaf ke nīche sarsarāhaT kā ehsās
kuchh ziyāda hī ho chalā thā
unheñ shahr-badar kar diyā gayā
un ke pachhtāve aur giḌgiḌāhaTeñ
aaj bhī hamāre kānoñ meñ mahfūz haiñ
tumheñ itnī chhūT dī hī kyuuñ jaa.e
ki tum
kal hamāre muqāble par utar aao
ham tumheñ hoshiyār kiye dete haiñ
dīvāreñ phalāñgne vaale
itaab se bach nahīñ sakte
aqd-nāmoñ par tumhāre dastaḳhat
tumhārī nā-murādī kā khulā e'tirāf haiñ
is ke baġhair
hamārī haram-sarā meñ
dāḳhil hone ke ijāzat-nāme
tumheñ mil bhī kaise sakte the
is se pahle ki hamāre najībut-tarafain shajre mashkūk ho jaa.eñ
aur hamāre hasab-nasab par aañch aa jaa.e
ham!
tum se pahle gulū-ḳhalāsī kā rāsta DhūñD nikāleñge!!
aaj unhon ne ailan kar hi diya
dekho!
hum ne tumhaari sab ki sab quwwaton ka faisla kiya tha
qil-o-qal ki gunjaish baqi nahin hai
tumhaare iqrar-name hamare pas mahfuz hain
tum se pahle walon ki KHata yahi thi
ki unhen,
apni naf ke niche sarsarahaT ka ehsas
kuchh ziyaada hi ho chala tha
unhen shahr-badar kar diya gaya
un ke pachhtawe aur giDgiDahaTen
aaj bhi hamare kanon mein mahfuz hain
tumhein itni chhuT di hi kyun jae
ki tum
kal hamare muqable par utar aao
hum tumhein hoshiyar kiye dete hain
diwaren phalangne wale
itab se bach nahin sakte
aqd-namon par tumhaare dastaKHat
tumhaari na-muradi ka khula e'tiraf hain
is ke baghair
hamari haram-sara mein
daKHil hone ke ijazat-name
tumhein mil bhi kaise sakte the
is se pahle ki hamare najibut-tarafain shajre mashkuk ho jaen
aur hamare hasab-nasab par aanch aa jae
ham!
tum se pahle gulu-KHalasi ka rasta DhunD nikalenge!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.