aqide
apne maazī ke ghane jañgal se
kaun niklegā! kahāñ niklegā
be-karāñ raat sitāre nābūd
chāñd ubhrā hai? kahāñ ubhrā hai?
ik fasāna hai tajallī kī numūd
kitne gunjān haiñ ashjār-e-buland
kitnā mauhūm hai aadam kā vajūd
muzmahil chaal qadam bojhal se
apne maazī ke ghane jañgal se
mujh ko sūjhī hai na.ī rāh-e-farār
aahan o sañg o sharar barsā.eñ
aao ashjār kī buniyādoñ par
tesha o teġh-o-tabar barsā.eñ
ik tasalsul se ham apnī choTeñ
be-ḳhatar bār-e-digar barsā.eñ
zehn par chhā.e haiñ kyuuñ bādal se
apne maazī ke ghane jañgal se
nau-e-insāñ ko nikalnā hogā
in añdheroñ ko nigalnā hogā
apne mazi ke ghane jangal se
kaun niklega! kahan niklega
be-karan raat sitare nabud
chand ubhra hai? kahan ubhra hai?
ek fasana hai tajalli ki numud
kitne gunjaan hain ashjar-e-buland
kitna mauhum hai aadam ka wajud
muzmahil chaal qadam bojhal se
apne mazi ke ghane jangal se
mujh ko sujhi hai nai rah-e-farar
aahan o sang o sharar barsaen
aao ashjar ki buniyaadon par
tesha o tegh-o-tabar barsaen
ek tasalsul se hum apni choTen
be-KHatar bar-e-digar barsaen
zehn par chhae hain kyun baadal se
apne mazi ke ghane jangal se
nau-e-insan ko nikalna hoga
in andheron ko nigalna hoga
- Book : kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 225)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.