aql baDi be-rahm thi usne
dil ko us ke dukh kī ghaḌī meñ
tanhā chhoḌ diyā
jism ne lekin saath diyā
dukh ke gahre sāgar meñ
dil ko chhātī se lipTā.e
jism kī kashtī
hol rahī hai Dol rahī hai
aql kināre par baiThī
mīThā mīThā bol rahī hai
duniyā ke hañgāmoñ meñ
ulTī jast lagāne ko
baazū apne taul rahī hai
dil ko us ke dukh ki ghaDi mein
tanha chhoD diya
jism ne lekin sath diya
dukh ke gahre sagar mein
dil ko chhati se lipTae
jism ki kashti
hol rahi hai Dol rahi hai
aql kinare par baiThi
miTha miTha bol rahi hai
duniya ke hangamon mein
ulTi jast lagane ko
bazu apne taul rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.