aql-mand masKHara
masḳhara thā bādshah kā ik ġhulām
ho gayā thā vo bahut hī nek-nām
ḳhidmat-e-maḳhlūq us kā kaam thā
aur is nekī kā charchā aam thā
dekhiye karnā ḳhudā kā kyā huā
ek us kā dost ġham meñ phañs gayā
rang laa.ī shaah kī chashm-e-itāb
be-navā par ho gayā nāzil azaab
mil chukā thā hukm us ko qatl kā
ab rihā.ī kā koī chāra na thā
maut kī saa.at nazar aa.ī qarīb
masḳhare ke paas pahuñchā vo ġharīb
kah sunāyā us ko apnā mājrā
shaah vālā-jāh hai mujh se ḳhafā
phir sifārish ke liye vo masḳhara
jald-tar darbār-e-shāhī meñ gayā
bādshāh ne masḳhare ko dekh kar
kī baḌe ġhusse se us par bhī nazar
phir kahā terī na mānūñgā kabhī
talḳh kar rakhī hai tū ne zindagī
har kisī kā tū banā hai ġham-gusār
phir sifārish kā ho kyoñ kar e'tibār
maiñ karūñgā tere kahne ke ḳhilāf
kar nahīñ saktā qusūr is kā muaaf
masḳhare ne arz kī ālam-panāh
qaul se phirte nahīñ haiñ bādshāh
qatl ho jaa.e ye bad-qismat shitāb
kījiye dil khol kar is par itaab
ye itāb-e-shāh jald hī duur ho
aur dil sarkār kā masrūr ho
bādshah ko aa ga.ī is par hañsī
paa.ī mujrim ne dobāra zindagī
masḳhare kī aql par sab shaad the
ġham-zada dil aish se ābād the
bach ga.ī ik jaan us kī baat se
ho gayā bekas rihā āfāt se
masKHara tha baadshah ka ek ghulam
ho gaya tha wo bahut hi nek-nam
KHidmat-e-maKHluq us ka kaam tha
aur is neki ka charcha aam tha
dekhiye karna KHuda ka kya hua
ek us ka dost gham mein phans gaya
rang lai shah ki chashm-e-itab
be-nawa par ho gaya nazil azab
mil chuka tha hukm us ko qatl ka
ab rihai ka koi chaara na tha
maut ki saat nazar aai qarib
masKHare ke pas pahuncha wo gharib
kah sunaya us ko apna majra
shah wala-jah hai mujh se KHafa
phir sifarish ke liye wo masKHara
jald-tar darbar-e-shahi mein gaya
baadshah ne masKHare ko dekh kar
ki baDe ghusse se us par bhi nazar
phir kaha teri na manunga kabhi
talKH kar rakhi hai tu ne zindagi
har kisi ka tu bana hai gham-gusar
phir sifarish ka ho kyon kar e'tibar
main karunga tere kahne ke KHilaf
kar nahin sakta qusur is ka muaf
masKHare ne arz ki aalam-panah
qaul se phirte nahin hain baadshah
qatl ho jae ye bad-qismat shitab
kijiye dil khol kar is par itab
ye itab-e-shah jald hi dur ho
aur dil sarkar ka masrur ho
baadshah ko aa gai is par hansi
pai mujrim ne dobara zindagi
masKHare ki aql par sab shad the
gham-zada dil aish se aabaad the
bach gai ek jaan us ki baat se
ho gaya bekas riha aafat se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.