aql-o-dil
Interesting Fact
From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)
'aql ne ek din ye dil se kahā
bhūle-bhaTke kī rahnumā huuñ maiñ
huuñ zamīñ par guzar falak pe mirā
dekh tū kis qadar rasā huuñ maiñ
kaam duniyā meñ rahbarī hai mirā
misl-e-ḳhizr-e-ḳhajista-pā huuñ meñ
huuñ mufassir kitāb-e-hastī kī
maz.har-e-shān-e-kibriyā huuñ maiñ
buuñd ik ḳhuun kī hai tū lekin
ġhairat-e-lā'l-e-be-bahā huuñ maiñ
dil ne sun kar kahā ye sab sach hai
par mujhe bhī to dekh kyā huuñ maiñ
rāz-e-hastī ko tū samajhtī hai
aur āñkhoñ se dekhtā huuñ maiñ
hai tujhe vāsta mazāhir se
aur bātin se āshnā huuñ maiñ
'ilm tujh se to mā'rifat mujh se
tū ḳhudā jo ḳhudā-numā huuñ maiñ
'ilm kī intihā hai betābi
us maraz kī magar davā huuñ maiñ
sham' tū mahfil-e-sadāqat kī
husn kī bazm kā diyā huuñ maiñ
tū zamān-o-makāñ se rishta bapā
tā.ir-e-sidra-āshnā huuñ maiñ
kis bulandī pe hai maqām mirā
'arsh rabb-e-jalīl kā huuñ maiñ
'aql ne ek din ye dil se kaha
bhule-bhaTke ki rahnuma hun main
hun zamin par guzar falak pe mera
dekh tu kis qadar rasa hun main
kaam duniya mein rahbari hai mera
misl-e-KHizr-e-KHajista-pa hun mein
hun mufassir kitab-e-hasti ki
mazhar-e-shan-e-kibriya hun main
bund ek KHun ki hai tu lekin
ghairat-e-la'l-e-be-baha hun main
dil ne sun kar kaha ye sab sach hai
par mujhe bhi to dekh kya hun main
raaz-e-hasti ko tu samajhti hai
aur aankhon se dekhta hun main
hai tujhe wasta mazahir se
aur baatin se aashna hun main
'ilm tujh se to ma'rifat mujh se
tu KHuda jo KHuda-numa hun main
'ilm ki intiha hai betabi
us maraz ki magar dawa hun main
sham' tu mahfil-e-sadaqat ki
husn ki bazm ka diya hun main
tu zaman-o-makan se rishta bapa
tair-e-sidra-ashna hun main
kis bulandi pe hai maqam mera
'arsh rabb-e-jalil ka hun main
- Book : کلیات اقبال (Pg. 41)
- Author : علامہ اقبال
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس،دہلی (2014)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.