arundhati-rae ke liye
tum ne sochā maddham lafzoñ kī dastak se dar khulte haiñ
raushan aur ābād zabānoñ kī jānib
tum ne sochā tahzīboñ ke jurm batāne se
insān burā hotā hai
tum ne samjhā sach kah denā kaafī hai har jhuuT ke aage
lekin sach kah dene se bhī kyā badlegā
vaqt zamāna tahzībeñ le ā.eñgī ik jhuuT nayā
aur sach ko purānā fashion jaan ke log bhulā deñge tum ko
yuuñ lagtā hai khul jā.egī tez havā se
silvaT un maujoñ kī jin ko
ret ke Tīloñ ne tartīb diyā hai sāhil par
yuuñ lagtā hai reza-reza kiran kiran bikhregā sūraj
rangoñ kī barsāt hai ujle paanī meñ
yuuñ lagtā hai
guuñj uThegā naġhma koī
ruk jā.eñge bahte bahte sab yak-dār ravānī meñ
tum ne socha maddham lafzon ki dastak se dar khulte hain
raushan aur aabaad zabanon ki jaanib
tum ne socha tahzibon ke jurm batane se
insan bura hota hai
tum ne samjha sach kah dena kafi hai har jhuT ke aage
lekin sach kah dene se bhi kya badlega
waqt zamana tahziben le aaengi ek jhuT naya
aur sach ko purana fashion jaan ke log bhula denge tum ko
yun lagta hai khul jaegi tez hawa se
silwaT un maujon ki jin ko
ret ke Tilon ne tartib diya hai sahil par
yun lagta hai reza-reza kiran kiran bikhrega suraj
rangon ki barsat hai ujle pani mein
yun lagta hai
gunj uThega naghma koi
ruk jaenge bahte bahte sab yak-dar rawani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.