asaDh
kitnī garmī hai ayāzan-billāh
zer-jāmoñ ke tale jism ke har goshe meñ
chipchpātā hai pasīne kā namak
garm pūrab kī umastī huī martūb havā
apne namnāk lapakte huuñ hāthoñ se jise
pur-shikan bhīge hue simTe hue āñchal meñ
jazb kar saktī nahīñ aur bhigo detī hai
aur hamsā.e ke matbaḳh kī khulī khiḌkī se
ik bhulaste hue baigan kī charāñd aatī hai
baasī hotī huī machhlī kī bisāñd aatī hai
kitnī garmī hai ayāzan-billāh
bādal umDe hue har samt se kaale bādal
sā.iqa shor garaj tez havā
lījiye lījiye paanī Tapkā
lījiye TuuT ke paanī barsā
lījiye ThanDī havā chalne lagī
hijr kī raat ko sahlātī huī
aur tanhā.ī ko āġhosh meñ bahlātī huī
kitni garmi hai ayazan-billah
zer-jamon ke tale jism ke har goshe mein
chipchpata hai pasine ka namak
garm purab ki umasti hui martub hawa
apne namnak lapakte hun hathon se jise
pur-shikan bhige hue simTe hue aanchal mein
jazb kar sakti nahin aur bhigo deti hai
aur hamsae ke matbaKH ki khuli khiDki se
ek bhulaste hue baigan ki charand aati hai
basi hoti hui machhli ki bisand aati hai
kitni garmi hai ayazan-billah
baadal umDe hue har samt se kale baadal
saiqa shor garaj tez hawa
lijiye lijiye pani Tapka
lijiye TuT ke pani barsa
lijiye ThanDi hawa chalne lagi
hijr ki raat ko sahlati hui
aur tanhai ko aaghosh mein bahlati hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.