asal mein ye dasht tha
is meñ ye dasht thā
is dasht meñ
maḳhlūq kab vārid huī
ḳhudā mālūm
lekin
sab baḌe būḌhe ye kahte haiñ
udhar ik dasht thā
jaane kyuuñ un ko yahāñ
lambī qatāroñ
shahr kī gunjān galiyoñ
daftaroñ
shāh-rāhoñ
rāstoñ aur resturānoñ
jalse julūsoñ
railiyoñ aur
īvān-hā-e-bālā-o-zīrīñ meñ
ḳhush-libāsī ke bharam meñ
nāchtī vahshat nazar aatī nahīñ
is mein ye dasht tha
is dasht mein
maKHluq kab warid hui
KHuda malum
lekin
sab baDe buDhe ye kahte hain
udhar ek dasht tha
jaane kyun un ko yahan
lambi qataron
shahr ki gunjaan galiyon
daftaron
shah-rahon
raston aur resturanon
jalse juluson
railiyon aur
iwan-ha-e-baala-o-zirin mein
KHush-libasi ke bharam mein
nachti wahshat nazar aati nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.