ashab-e-girya
purānī baat hai
lekin ye anhonī sī lagtī hai
husain-ābād saarā
ta.aziya-dāroñ kī bastī thī
moharram ke dinoñ meñ shaam hote hī
husain-ābād ke mard-o-zan kaale libāsoñ meñ
azā-ḳhānoñ ke dālānoñ meñ
shab bhar marsiya paḌhte
saf-e-mātam bichhāte aur apnī chhātiyoñ ko laal kar lete
nauvīñ kī shab vo sab apne gharoñ se aag laate
aur dahaktī aag kī chāroñ taraf īñTeñ bichhā dete
hazāroñ āñkheñ mushtāqāna ik jānib ko uTh jātīñ
fazā meñ guuñj sī hotī
koī na.ara lagātā aur husain-ibn-e-alī kā naam le kar
aag kī īñToñ pe yuuñ chaltā huā aatā
ki jaise farsh-e-gul ho yā koī sabze kī chādar ho
vo phir na.ara lagātā dauḌtā bijlī kī tezī se
muqaddas āyatoñ vaalā alam hāthoñ meñ le letā
kamar se apnī kas letā
hazāroñ log us ke gard halqa bāñdh lete
aur use kashf-o-karāmat kā ḳhazīna jaan kar
apne diloñ kā mudda.ā kahte
vo paiham aag kī īñToñ pe yūñhī nāchtā rahtā
murādoñ minnatoñ kā mājrā suntā
magar jab aag kī īñToñ kī surḳhī maañd ho jaatī
to saare log halqa toḌ dete aur muqaddas āyatoñ vaalā alam
is shaḳhs ke hāthoñ se le lete
azā-ḳhānoñ ke dālānoñ meñ vāpas lauT kar aate
saf-e-mātam bichhāte
aur apnī chhātiyoñ ko laal kar lete
purani baat hai
lekin ye anhoni si lagti hai
husain-abaad sara
taziya-daron ki basti thi
moharram ke dinon mein sham hote hi
husain-abaad ke mard-o-zan kale libason mein
aza-KHanon ke dalanon mein
shab bhar marsiya paDhte
saf-e-matam bichhate aur apni chhatiyon ko lal kar lete
nauwin ki shab wo sab apne gharon se aag late
aur dahakti aag ki chaaron taraf inTen bichha dete
hazaron aankhen mushtaqana ek jaanib ko uTh jatin
faza mein gunj si hoti
koi nara lagata aur husain-ibn-e-ali ka nam le kar
aag ki inTon pe yun chalta hua aata
ki jaise farsh-e-gul ho ya koi sabze ki chadar ho
wo phir nara lagata dauDta bijli ki tezi se
muqaddas aayaton wala alam hathon mein le leta
kamar se apni kas leta
hazaron log us ke gard halqa bandh lete
aur use kashf-o-karamat ka KHazina jaan kar
apne dilon ka muddaa kahte
wo paiham aag ki inTon pe yunhi nachta rahta
muradon minnaton ka majra sunta
magar jab aag ki inTon ki surKHi mand ho jati
to sare log halqa toD dete aur muqaddas aayaton wala alam
is shaKHs ke hathon se le lete
aza-KHanon ke dalanon mein wapas lauT kar aate
saf-e-matam bichhate
aur apni chhatiyon ko lal kar lete
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 56)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.