ashgabad ki sham
Interesting Fact
Ashgabat is the capital and the largest city of Turkmenistan.
jab sūraj ne jaate jaate
ashghabad ke niile ufuq se
apne sunahrī jaam
meñ Dhālī
surḳhī-e-avval-e-shām
aur ye jaam
tumhāre sāmne rakh kar
tum se kyā kalām
kahā parnām
uTTho
aur apne tan kī sej se uTh kar
ik shīrīñ paiġhām
sabt karo is shaam
kisī ke naam
kanār-e-jām
shāyad tum ye maan ga.iiñ aur tum ne
apne lab-e-gulfām
kiye in.aam
kisī ke naam
kanār-e-jām
yā shāyad
tum apne tan kī sej pe saj kar
thiiñ yuuñ mahv-e-ārām
ki raste takte takte
bujh ga.ī sham-e-jām
ashghabad ke niile ufuq par
ġhārat ho ga.ī shaam
Evening in Ashkabaad
jab suraj ne jate jate
ashghabad ke nile ufuq se
apne sunahri jam
mein Dhaali
surKHi-e-awwal-e-sham
aur ye jam
tumhaare samne rakh kar
tum se kya kalam
kaha parnam
uTTho
aur apne tan ki sej se uTh kar
ek shirin paigham
sabt karo is sham
kisi ke nam
kanar-e-jam
shayad tum ye man gain aur tum ne
apne lab-e-gulfam
kiye inam
kisi ke nam
kanar-e-jam
ya shayad
tum apne tan ki sej pe saj kar
thin yun mahw-e-aram
ki raste takte takte
bujh gai sham-e-jam
ashghabad ke nile ufuq par
ghaarat ho gai sham
Evening in Ashkabaad
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 520)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.