ashk bahaya maine
gosha-e-dil meñ terā dard chhupāyā maiñ ne
chashm-e-tar ko bhī na ye raaz batāyā maiñ ne
kaun vo shab hai jo be-ashk bahā.e guzrī
kaun vo ġham hai jo dil par na uThāyā maiñ ne
kī zamāne se kabhī koī shikāyat na gila
apne riste hue zaḳhmoñ ko chhupāyā maiñ ne
ab to dam zabt kī shiddat se ghaTā jaatā hai
is qadar dard ko siine meñ dabāyā maiñ ne
haif bar haal dil-e-zār ki ā.īna huā
laakh parde meñ har ik raaz chhupāyā maiñ ne
zindagī guzrī hai be-kaif sī yārab phir bhī
garche hañs hañs ke har ik ġham ko miTāyā maiñ ne
kis ne ye kashmakash-e-shām-e-alam dekhī hai
jab koī dard uThā dil meñ dabāyā maiñ ne
kab tak is taur se 'nāshād' guzārūñgī hayāt
jab ḳhushī koī milī ashk bahāyā meñ ne
gosha-e-dil mein tera dard chhupaya main ne
chashm-e-tar ko bhi na ye raaz bataya main ne
kaun wo shab hai jo be-ashk bahae guzri
kaun wo gham hai jo dil par na uThaya main ne
ki zamane se kabhi koi shikayat na gila
apne riste hue zaKHmon ko chhupaya main ne
ab to dam zabt ki shiddat se ghaTa jata hai
is qadar dard ko sine mein dabaya main ne
haif bar haal dil-e-zar ki aaina hua
lakh parde mein har ek raaz chhupaya main ne
zindagi guzri hai be-kaif si yarab phir bhi
garche hans hans ke har ek gham ko miTaya main ne
kis ne ye kashmakash-e-sham-e-alam dekhi hai
jab koi dard uTha dil mein dabaya main ne
kab tak is taur se 'nashad' guzarungi hayat
jab KHushi koi mili ashk bahaya mein ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.