ashk tara karo
vaqt kī āstīnoñ meñ palte hue qahqahe
jhaaḌ do
apne lab gaaḌ do
ā.inoñ meñ bikhartī huī
apnī be-chehragī ke Tahalte hue saa.e par
muskurāhaT ujālo na.ī sub.h ta.amīr karne kā chāra karo
istiḳhāra karo
saarī afsurdagī aur sarāsīmgī
sansanāte hue
apnī qāmat se ghaT kar ka.ī
munhadim dā.eroñ meñ badal jā.egī
ye jo hālāt kī dasht-āñkhoñ se ham par lapaktī huī
lū hai kaT jā.egī
pyaas chhaT jā.egī
be-amāñ mausamoñ ke badan par chahakte hue silsile
karb-ālūd lahje bhī khul jā.eñge
hausle gā.eñge
vaqt ke zard māthe pe bal aa.egā
nā-umīdī kā har ek imkān jal jā.egā
raushnī kā shajar
apnī shāḳhoñ ko phailā.egā
āsmāñ apne dāman se pinhāñ guhar
sab pe barsā.egā
ziist ko nuurī ḳhushbū se mahkā.egā
muskurāhaT ujālo na.ī sub.h ta.amīr karne kā chāra karo
ashk taarā karo
waqt ki aastinon mein palte hue qahqahe
jhaD do
apne lab gaD do
aainon mein bikharti hui
apni be-chehragi ke Tahalte hue sae par
muskurahaT ujalo nai subh tamir karne ka chaara karo
istiKHara karo
sari afsurdagi aur sarasimgi
sansanate hue
apni qamat se ghaT kar kai
munhadim daeron mein badal jaegi
ye jo haalat ki dasht-ankhon se hum par lapakti hui
lu hai kaT jaegi
pyas chhaT jaegi
be-aman mausamon ke badan par chahakte hue silsile
karb-alud lahje bhi khul jaenge
hausle gaenge
waqt ke zard mathe pe bal aaega
na-umidi ka har ek imkan jal jaega
raushni ka shajar
apni shaKHon ko phailaega
aasman apne daman se pinhan guhar
sab pe barsaega
zist ko nuri KHushbu se mahkaega
muskurahaT ujalo nai subh tamir karne ka chaara karo
ashk tara karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.