ashlok
gyaan bulandī kā kashT hai
is liye āsānī se nahīñ miltā
ye aur baat hai
ki thoḌī der kī bārish meñ
an-ginat barsātī gaḌhe
āsmān kā aks khīñch kar itrāte haiñ
aur gahre samundar pe hañste haiñ
gyan bulandi ka kashT hai
is liye aasani se nahin milta
ye aur baat hai
ki thoDi der ki barish mein
an-ginat barsati gaDhe
aasman ka aks khinch kar itraate hain
aur gahre samundar pe hanste hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.