asia jag uTha
asia jaag uThā ḳhvāb-e-girāñ se kaise
dil-nashīñ jism meñ ik zahr kā tūfān liye
keñchulī badle hue saañp kī phunkār liye
har shaqāvat ke liye maut kā sāmān liye
asia jaag uThā
ahl-e-mashriq ko na.ī ziist kī phir se hai talāsh
ye taḌapte hue gūñge ye bilakte haivāñ
apne āqāoñ ke derīna ġhulāmoñ kī ye laash
zulm toḌā kiyā insān pe sadiyoñ insāñ
ziist be-nūr charāġhoñ meñ se lau de uTThī
ik kiran sard añdhere meñ se zau de uTThī
asia jaag uThā
ahl-e-mashriq kī taraqqī ke payambar larze
kapkapāne lage aivānoñ ke sangīn sutūñ
vo jahāñ naaz bhī naḳhvat hai masarrat bhī ġhurūr
jin meñ nikhrā kiyā insāñ kī ta.allī kā junūñ
sāl-hā-sāl se tapte hue faulād ke raaz
sāl-hā-sāl se fankāroñ ke tarshe hue but
rah na jaa.e kahīñ mashriq meñ hī maġhrib kī ye rut
ahl-e-mashriq pe shaqāvat kī koī had hī nahīñ
apne dushman kī zalālat kī koī had hī nahīñ
asia jaag uThā
apnī zillat ke samet apnī hifāzat ke liye
is qadāmat ke samet apnī saqāfat ke liye
asia arz-e-muqaddas bhī farozāñ hogī
ham ġharīboñ kī ġhamīñ ziist bhī tābāñ hogī
asia jaag uThā jaag uThā jaag uThā
asia jag uTha KHwab-e-giran se kaise
dil-nashin jism mein ek zahr ka tufan liye
kenchuli badle hue sanp ki phunkar liye
har shaqawat ke liye maut ka saman liye
asia jag uTha
ahl-e-mashriq ko nai zist ki phir se hai talash
ye taDapte hue gunge ye bilakte haiwan
apne aaqaon ke derina ghulamon ki ye lash
zulm toDa kiya insan pe sadiyon insan
zist be-nur charaghon mein se lau de uTThi
ek kiran sard andhere mein se zau de uTThi
asia jag uTha
ahl-e-mashriq ki taraqqi ke payambar larze
kapkapane lage aiwanon ke sangin sutun
wo jahan naz bhi naKHwat hai masarrat bhi ghurur
jin mein nikhra kiya insan ki talli ka junun
sal-ha-sal se tapte hue faulad ke raaz
sal-ha-sal se fankaron ke tarshe hue but
rah na jae kahin mashriq mein hi maghrib ki ye rut
ahl-e-mashriq pe shaqawat ki koi had hi nahin
apne dushman ki zalalat ki koi had hi nahin
asia jag uTha
apni zillat ke samet apni hifazat ke liye
is qadamat ke samet apni saqafat ke liye
asia arz-e-muqaddas bhi farozan hogi
hum gharibon ki ghamin zist bhi taban hogi
asia jag uTha jag uTha jag uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.