asir-e-ishq
jis tarah parinda sahrā kā paanī kī talāsh meñ phirtā hai
tū DhūñDhtā mujh ko aa.egā kyoñ mujh se nafrat kartā hai
kyā merī judā.ī se bhī taḌap dil kī tire tez nahīñ hotī
kyā bastiyāñ armānoñ kī tirī siine meñ paḌī haiñ yūñhī sotī
kyā mere tasavvur se bhī tire jazbāt meñ josh nahīñ aatā
kyā ḳhuun kā ik qatra bhī tirā aisā nahīñ jo garmā jaatā
jo dil hai tirā vo merā hai aur merī itā.at kartā hai
kamzor mohabbat hai terī par dam vo mirā hī bhartā hai
maiñ thāme hue huuñ hāthoñ se phande maiñ mire hai vo goyā
yā daam meñ jaise murġh koī daana kī havas meñ ho aayā
uḌ jā hai ijāzat tujh ko mirī par halqa-e-ulfat se bāhar
tū uḌ nahīñ saktā ai pyāre gar ghuum bhī le sab bahr-o-bar
jis tarah parinda sahra ka pani ki talash mein phirta hai
tu DhunDhta mujh ko aaega kyon mujh se nafrat karta hai
kya meri judai se bhi taDap dil ki tere tez nahin hoti
kya bastiyan armanon ki teri sine mein paDi hain yunhi soti
kya mere tasawwur se bhi tere jazbaat mein josh nahin aata
kya KHun ka ek qatra bhi tera aisa nahin jo garma jata
jo dil hai tera wo mera hai aur meri itaat karta hai
kamzor mohabbat hai teri par dam wo mera hi bharta hai
main thame hue hun hathon se phande main mere hai wo goya
ya dam mein jaise murgh koi dana ki hawas mein ho aaya
uD ja hai ijazat tujh ko meri par halqa-e-ulfat se bahar
tu uD nahin sakta ai pyare gar ghum bhi le sab bahr-o-bar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.