asiri
din bādal hai apnī rau meñ chaltā hai
raat āñgan hai apne andar khultī hai
jis aan tum is miTTī par yā miTTī meñ aa.e the
vo din thā raat thī
yā din-rāt se milne kī ek azalī abadī koshish thī
yā sūraj chāñd-gahan thā
yā pakkī puurī bārish thī
din bādal bārish raat gahan
ik ghar aur ek asiir
ab raat ke ḳhvāb se mat Darnā
aur din ke ġham meñ mat sonā
ab hañsnā aur hañste meñ mar jaanā
jaise aksar marne vaale sote meñ mar jaate haiñ
ab hañsnā aur hañste meñ mar jaane se mat Darnā
is aan se kyā har aan yahī
din bādal bārish raat gahan
ik ghar aur ek asiir
din baadal hai apni rau mein chalta hai
raat aangan hai apne andar khulti hai
jis aan tum is miTTi par ya miTTi mein aae the
wo din tha raat thi
ya din-raat se milne ki ek azali abadi koshish thi
ya suraj chand-gahan tha
ya pakki puri barish thi
din baadal barish raat gahan
ek ghar aur ek asir
ab raat ke KHwab se mat Darna
aur din ke gham mein mat sona
ab hansna aur hanste mein mar jaana
jaise aksar marne wale sote mein mar jate hain
ab hansna aur hanste mein mar jaane se mat Darna
is aan se kya har aan yahi
din baadal barish raat gahan
ek ghar aur ek asir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.