asl sadma
chane mere soyam ke
sub.h
sivā mere sasurāl vāloñ ke kis ne paḌhe
jāntā huuñ
shaam kī fātiha meñ bhī gintī saroñ kī agar kam rahī
to is ke sabab kā mujhe ḳhuub andāza hai
deg aadhī bachī rah ga.ī qorme kī
koī ġham nahīñ
magar merī biivī ne jis be-dilī se
du'ā kī mirī maġhfirat ke liye
asl sadma to vo hai
chane mere soyam ke
subh
siwa mere sasural walon ke kis ne paDhe
jaanta hun
sham ki fatiha mein bhi ginti saron ki agar kam rahi
to is ke sabab ka mujhe KHub andaza hai
deg aadhi bachi rah gai qorme ki
koi gham nahin
magar meri biwi ne jis be-dili se
du'a ki meri maghfirat ke liye
asl sadma to wo hai
- Book : Dukh Naye Kapde Badal Kar (Pg. 128)
- Author : Shariq Kaifi
- Publication : Rekhta Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.