aspatal
maiñ jis jagah huuñ vahāñ zindagī muamma hai
abhī to nauha abhī dil-navāz naġhma hai
abhī hayāt abhī maut abhī sukūñ abhī ġham
ye aspatāl kī duniyā ajiib duniyā hai
har ek nurse ke lab par hañsī sikhā.ī huī
jo doctor hai vo apne ta.iiñ masīhā hai
bayān-e-shauq kī sub.heñ na arz-e-hāl kī shaam
baḌī udaas sī rahtī hai aspatāl kī shaam
saverā aa.e to dil meñ dabī dabī ummīd
phir us ke ba.ad vahī ġham vahī malāl kī shaam
maiñ chāhtā huuñ yahāñ bhī hamesha aatī raheñ
ummīd-e-shauq kī sub.heñ hasīñ ḳhayāl kī shaam
jo hoñ marīz unheñ rāhat dikhā.ī dene lage
har aspatāl meñ jannat dikhā.ī dene lage
main jis jagah hun wahan zindagi muamma hai
abhi to nauha abhi dil-nawaz naghma hai
abhi hayat abhi maut abhi sukun abhi gham
ye aspatal ki duniya ajib duniya hai
har ek nurse ke lab par hansi sikhai hui
jo doctor hai wo apne tain masiha hai
bayan-e-shauq ki subhen na arz-e-haal ki sham
baDi udas si rahti hai aspatal ki sham
sawera aae to dil mein dabi dabi ummid
phir us ke baad wahi gham wahi malal ki sham
main chahta hun yahan bhi hamesha aati rahen
ummid-e-shauq ki subhen hasin KHayal ki sham
jo hon mariz unhen rahat dikhai dene lage
har aspatal mein jannat dikhai dene lage
- Book : Intikhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 11)
- Author : Irfaan Abbasii
- Publication : Uttarpradesh, Urdu academy, Lucknow (1991)
- Edition : 1991
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.