athar-nafis ke liye
merā ġham mo'atabar thā
takalluf kī qabā noch kar jis ne
ma.asūm rañg-e-ātshīñ bharā thā
taḳhlīq ke band jazboñ ko
aḳhlāq ke hāthoñ par dharā thā
zindagī jis ke liye
daar thī
kū-e-dildār bhī
ruuh kī tafsīr bhī
rañg-e-hinā kī tanvīr bhī
bardāsht jis ne kī
ārzūoñ kī taz.hīk bhī
muqaddas jazbāt kī tazlīl bhī
laboñ par jis ke
kitne etarāzāt the
nihāñ jis ke dil meñ
kitne etarāzāt the
kuchh sutūr
kuchh sutūr ke darmiyāñ bhī thā
kahīñ tahrīk
kahīñ Thahrāv kā samāñ bhī thā
kahīñ ḳhvāb
kahīñ ḳhvāboñ kā sūrat-gar bhī thā
ham aur tum jise na jaan sake
us ke ḳhvāboñ ko na pahchān sake
mera gham mo'atabar tha
takalluf ki qaba noch kar jis ne
masum rang-e-atshin bhara tha
taKHliq ke band jazbon ko
aKHlaq ke hathon par dhara tha
zindagi jis ke liye
dar thi
ku-e-dildar bhi
ruh ki tafsir bhi
rang-e-hina ki tanwir bhi
bardasht jis ne ki
aarzuon ki tazhik bhi
muqaddas jazbaat ki tazlil bhi
labon par jis ke
kitne etaraazat the
nihan jis ke dil mein
kitne etaraazat the
kuchh sutur
kuchh sutur ke darmiyan bhi tha
kahin tahrik
kahin Thahraw ka saman bhi tha
kahin KHwab
kahin KHwabon ka surat-gar bhi tha
hum aur tum jise na jaan sake
us ke KHwabon ko na pahchan sake
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.