august-1952
raushan kahīñ bahār ke imkāñ hue to haiñ
gulshan meñ chaak chand garebāñ hue to haiñ
ab bhī ḳhizāñ kā raaj hai lekin kahīñ kahīñ
goshe rah-e-chaman meñ ġhazal-ḳhvāñ hue to haiñ
Thahrī huī hai shab kī siyāhī vahīñ magar
kuch kuchh sahar ke rañg par-afshāñ hue to haiñ
in meñ lahū jalā ho hamārā ki jaan o dil
mahfil meñ kuchh charāġh farozāñ hue to haiñ
haañ kaj karo kulāh ki sab kuchh luTā ke ham
ab be-niyāz-e-gardish-e-daurāñ hue to haiñ
ahl-e-qafas kī sub.h-e-chaman meñ khulegī aañkh
bād-e-sabā se va.ada-o-paimāñ hue to haiñ
hai dasht ab bhī dasht magar ḳhūn-e-pā se 'faiz'
sairāb chand ḳhār-e-muġhīlāñ hue to haiñ
raushan kahin bahaar ke imkan hue to hain
gulshan mein chaak chand gareban hue to hain
ab bhi KHizan ka raj hai lekin kahin kahin
goshe rah-e-chaman mein ghazal-KHwan hue to hain
Thahri hui hai shab ki siyahi wahin magar
kuch kuchh sahar ke rang par-afshan hue to hain
in mein lahu jala ho hamara ki jaan o dil
mahfil mein kuchh charagh farozan hue to hain
han kaj karo kulah ki sab kuchh luTa ke hum
ab be-niyaz-e-gardish-e-dauran hue to hain
ahl-e-qafas ki subh-e-chaman mein khulegi aankh
baad-e-saba se wada-o-paiman hue to hain
hai dasht ab bhi dasht magar KHun-e-pa se 'faiz'
sairab chand KHar-e-mughilan hue to hain
- Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.