aur diya jalta hai KHwab mein
vahī kā.enāt kī phailtī huī zulmateñ
vahī sūrajoñ kī hai bebasī
yahī ek manzar-e-rūu-ba-rū
mire shash jihāt kī dastāñ
mujhe lamha lamha nigal rahā hai
magar kahīñ
mirī ḳhvāb raat ke āsmān pe koī hāla-e-nūr hai
jo azal se tā-ba-abad fazā-e-fanā meñ darj hai aisī satr davām kī
jise masjidoñ ke ujaaḌ taaq taras ga.e
jise DhūñDte ka.ī din mahīne baras ga.e
wahi kaenat ki phailti hui zulmaten
wahi surajon ki hai bebasi
yahi ek manzar-e-ruu-ba-ru
mere shash jihat ki dastan
mujhe lamha lamha nigal raha hai
magar kahin
meri KHwab raat ke aasman pe koi haala-e-nur hai
jo azal se ta-ba-abad faza-e-fana mein darj hai aisi satr dawam ki
jise masjidon ke ujaD taq taras gae
jise DhunDte kai din mahine baras gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.