aur KHuda KHamosh tha
ek bose kī talab meñ
jism kubḌe ho ga.e
zindagī paanī huī
āsmāñ se kahkashāoñ kī bahār
aag barsātī rahī
zindagī fōtpath par
ek roTī kī talab meñ
haath phailātī rahī
qatra qatra bebasī tezāb sī
jism pighlātī rahī
raddī chunvātī rahī
neTī-cheTī par khaḌī ḳhalq-e-ḳhudā
hañstī rahī
aur ḳhudā ḳhāmosh thā
ek bose ki talab mein
jism kubDe ho gae
zindagi pani hui
aasman se kahkashaon ki bahaar
aag barsati rahi
zindagi footpath par
ek roTi ki talab mein
hath phailati rahi
qatra qatra bebasi tezab si
jism pighlati rahi
raddi chunwati rahi
neTi-cheTi par khaDi KHalq-e-KHuda
hansti rahi
aur KHuda KHamosh tha
- Book : Raah-daari mein gunjti nazm (rekhta website) (Pg. 179)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.