maañs kī fasleñ
javāñ ho kar
pareshāñ ho ga.ī haiñ
havā kī saltanat meñ
hilte rahne ke alāva
aur kuchh chāra nahīñ hai
kar ke taḳhlīq batā do logo
maañs ke peḌ lagā do logo
chhīn lo saarī chamak hāthoñ se
aur phir in meñ asā do logo
jab bhī tūfāñ koī uThnā chāhe
ret meñ us ko dabā do logo
tañg tah-ḳhānoñ se bāhar niklo
kā.enātoñ ko sadā do logo
varna tum ko ye dabochegā abhī
ḳhauf ko chīḳh banā do logo
ḳhushk peḌoñ kī kathā.eñ sun lo
un meñ phir aag lagā do logo
mans ki faslen
jawan ho kar
pareshan ho gai hain
hawa ki saltanat mein
hilte rahne ke alawa
aur kuchh chaara nahin hai
kar ke taKHliq bata do logo
mans ke peD laga do logo
chhin lo sari chamak hathon se
aur phir in mein asa do logo
jab bhi tufan koi uThna chahe
ret mein us ko daba do logo
tang tah-KHanon se bahar niklo
kaenaton ko sada do logo
warna tum ko ye dabochega abhi
KHauf ko chiKH bana do logo
KHushk peDon ki kathaen sun lo
un mein phir aag laga do logo
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 689)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.