aur moD ne kaha
ba.ad muddat chale aa.e kaise idhar
aaj kis tarah merā ḳhayāl aa gayā
Thahro ruk jaao rishta hai kuchh mujh se bhī
kuchh dinoñ kā nahīñ rabt-e-derīna hai
naqsh-e-pā maiñ tumhāre liye baiThā huuñ
raaz siine meñ hai lab siye baiThā huuñ
aise guzre ho pahchānte hī nahīñ
tum to jaise mujhe jānte hī nahīñ
ruk gayā aur kuchh soch kar kho gayā
duur apne tasavvur se bhī ho gayā
bhūlī-bisrī huī raat yaad aa ga.ī
biite lamhoñ kī har baat yaad aa ga.ī
kis ke hamrāh aayā thā is moḌ par
kaun saath paane laayā thā is moḌ par
haañ yahīñ terī zulfoñ kā saaya milā
haañ yahīñ ārzuoñ kā ġhuncha khilā
haañ yahīñ dil kī dhaḌkan huī thī javāñ
haañ yahīñ to mile the zamīñ āsmāñ
ab maiñ is moḌ se kyā kahūñ? tū batā
pūchhtā hai ''vo saaya kahāñ rah gayā''
baad muddat chale aae kaise idhar
aaj kis tarah mera KHayal aa gaya
Thahro ruk jao rishta hai kuchh mujh se bhi
kuchh dinon ka nahin rabt-e-derina hai
naqsh-e-pa main tumhaare liye baiTha hun
raaz sine mein hai lab siye baiTha hun
aise guzre ho pahchante hi nahin
tum to jaise mujhe jaante hi nahin
ruk gaya aur kuchh soch kar kho gaya
dur apne tasawwur se bhi ho gaya
bhuli-bisri hui raat yaad aa gai
bite lamhon ki har baat yaad aa gai
kis ke hamrah aaya tha is moD par
kaun sath pane laya tha is moD par
han yahin teri zulfon ka saya mila
han yahin aarzuon ka ghuncha khila
han yahin dil ki dhaDkan hui thi jawan
han yahin to mile the zamin aasman
ab main is moD se kya kahun? tu bata
puchhta hai wo saya kahan rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.