aur niche na utar o mere samea mujhko
aao aa jaao qarīb aao
ki kuchh baat bane
itnī duurī hai ki āvāz pahuñchtī hī nahīñ
maiñ kisī ġhair zabāñ ke alfāz
apne ash.ār meñ shāmil to nahīñ kartā huuñ
dukh to is baat kā hai tum ye samajhte hī nahīñ
mere siine meñ machaltā hai
tumhārā dukh bhī
mere alfāz meñ shāmil hai tumhārī āvāz
mere jazbāt meñ ḳhufta haiñ
tumhāre jazbāt
maiñ jo ad par huuñ to bas ek hī maqsad hai mirā
farsh se arsh kā kuchh rābta baaqī to rahe
maiñ huuñ jis ziine pe
tum us pe nahīñ aa sakte
aur maiñ nīche bahut nīche nahīñ jā saktā
ye tafāvut to azal hī se hai qaa.em
lekin
tum kabhī itne garāñ gosh na the
sīḌhiyāñ jitnī bhī uupar jaa.eñ
paañv to un ke zamīñ se hī lage rahte haiñ
ik zarā qurb-e-samā.at ke liye
kitne hī ziine maiñ utrā huuñ tumhārī ḳhātir
jhaaḌ kar apne band kī miTTī
chand ziine hī sahī
tum bhī to uupar aao
aur nīche na utāro mire sāme.a mujh ko
aao aa jao qarib aao
ki kuchh baat bane
itni duri hai ki aawaz pahunchti hi nahin
main kisi ghair zaban ke alfaz
apne ashaar mein shamil to nahin karta hun
dukh to is baat ka hai tum ye samajhte hi nahin
mere sine mein machalta hai
tumhaara dukh bhi
mere alfaz mein shamil hai tumhaari aawaz
mere jazbaat mein KHufta hain
tumhaare jazbaat
main jo ad par hun to bas ek hi maqsad hai mera
farsh se arsh ka kuchh rabta baqi to rahe
main hun jis zine pe
tum us pe nahin aa sakte
aur main niche bahut niche nahin ja sakta
ye tafawut to azal hi se hai qaem
lekin
tum kabhi itne garan gosh na the
siDhiyan jitni bhi upar jaen
panw to un ke zamin se hi lage rahte hain
ek zara qurb-e-samaat ke liye
kitne hi zine main utra hun tumhaari KHatir
jhaD kar apne band ki miTTi
chand zine hi sahi
tum bhi to upar aao
aur niche na utaro mere samea mujh ko
- Book : Roshan waraq waraq (Pg. 65)
- Author : Zaheer Siddiqui
- Publication : eram printer daryabad ,patna (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.