aur ye insan
aur ye insāñ jo... miTTī kā ik zarra hai... jo miTTī se bhī kam-tar hai
apne liye DhūñDe to us ke saare sharaf sachchī tamkīnoñ meñ haiñ
lekin kyā ye takrīmeñ miltī haiñ
zar kī chamak se
tahzīboñ kī chhab se
saltantoñ kī dhaj se
nahīñ nahīñ... to...
phir kyuuñ miTTī ke is zarre ko sajda kiyā ik ik tāqat ne
kyā us kī rif.at hī kī ye sab tasḳhīreñ haiñ
maiñ batlā duuñ
kyā us kī quvvat aur kaisī us kī tasḳhīreñ
maiñ batlā duuñ
qāhir jazboñ ke aage bebas hone meñ miTTī kā ye zarra
apne aap meñ
jab miTTī se bhī kam-tar ho jaatā hai sunñe vaalā us kī suntā hai
sunñe vaalā jis kī sune vo to apne miTTī hone meñ bhī anmol hai
aur ye insan jo miTTi ka ek zarra hai jo miTTi se bhi kam-tar hai
apne liye DhunDe to us ke sare sharaf sachchi tamkinon mein hain
lekin kya ye takrimen milti hain
zar ki chamak se
tahzibon ki chhab se
saltanton ki dhaj se
nahin nahin to
phir kyun miTTi ke is zarre ko sajda kiya ek ek taqat ne
kya us ki rifat hi ki ye sab tasKHiren hain
main batla dun
kya us ki quwwat aur kaisi us ki tasKHiren
main batla dun
qahir jazbon ke aage bebas hone mein miTTi ka ye zarra
apne aap mein
jab miTTi se bhi kam-tar ho jata hai sunne wala us ki sunta hai
sunne wala jis ki sune wo to apne miTTi hone mein bhi anmol hai
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 671)
- Author : Majiid Amjad
- Publication : Farid Book Depot (p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.