aurat aur namak
izzat kī bahut sī qismeñ haiñ
ghūñghaT thappaḌ gandum
izzat ke tābūt meñ qaid kī meḳheñ Thoñkī ga.ī haiñ
ghar se le kar fōtpath tak hamārā nahīñ
izzat hamāre guzāre kī baat hai
izzat ke neze se hameñ dāġhā jaatā hai
izzat kī kanī hamārī zabān se shurūa hotī hai
koī raat hamārā namak chakh le
to ek zindagī hameñ be-zā.iqa roTī kahā jaatā hai
ye kaisā bāzār hai
ki rañg-sāz hī phīkā paḌā hai
ḳhalā kī hathelī pe patañgeñ mar rahī haiñ
maiñ qaid meñ bachche jantī huuñ
jaa.ez aulād ke liye zamīn khilanDarī honī chāhiye
tum Dar meñ bachche jantī ho isī liye aaj tumhārī koī nasl nahīñ
tum jism ke ek band se pukārī jaatī ho
tumhārī haisiyat meñ to chaal rakh dī ga.ī hai
ek ḳhūbsūrat chaal
chhoTī muskurāhaT tumhāre laboñ pe tarāsh dī ga.ī hai
tum sadiyoñ se nahīñ roiiñ
kyā maañ aisī hotī hai
tumhāre bachche phīke kyoñ paḌe haiñ
tum kis kumbe kī maañ ho
reip kī qaid kī baTe hue jism kī
yā īñToñ meñ chunī huī beTiyoñ kī
bāzāroñ meñ tumhārī beTiyāñ
apne lahū se bhuuk gūñdhtī haiñ
aur apnā gosht khātī haiñ
ye tumhārī kaun sī āñkheñ haiñ
ye tumhāre ghar kī dīvār kī kaun sī chinā.ī hai
tum ne merī hañsī meñ ta.āruf rakkhā
aur apne beTe kā naam sikka-e-rā.ij-ul-vaqt
aaj tumhārī beTī apnī beTiyoñ se kahtī hai
maiñ apnī beTī kī zabān dāġhūñgī
lahū thūktī aurat dhaat nahīñ
chūḌiyoñ kī chor nahīñ
maidān merā hausla hai
añgāra merī ḳhvāhish
ham sar pe kafan bāñdh kar paidā hue haiñ
koī añgūThī pahan kar nahīñ
jise tum chorī kar loge
izzat ki bahut si qismen hain
ghunghaT thappaD gandum
izzat ke tabut mein qaid ki meKHen Thonki gai hain
ghar se le kar footpath tak hamara nahin
izzat hamare guzare ki baat hai
izzat ke neze se hamein dagha jata hai
izzat ki kani hamari zaban se shurua hoti hai
koi raat hamara namak chakh le
to ek zindagi hamein be-zaiqa roTi kaha jata hai
ye kaisa bazar hai
ki rang-saz hi phika paDa hai
KHala ki hatheli pe patangen mar rahi hain
main qaid mein bachche janti hun
jaez aulad ke liye zamin khilanDari honi chahiye
tum Dar mein bachche janti ho isi liye aaj tumhaari koi nasl nahin
tum jism ke ek band se pukari jati ho
tumhaari haisiyat mein to chaal rakh di gai hai
ek KHubsurat chaal
chhoTi muskurahaT tumhaare labon pe tarash di gai hai
tum sadiyon se nahin roin
kya man aisi hoti hai
tumhaare bachche phike kyon paDe hain
tum kis kumbe ki man ho
reip ki qaid ki baTe hue jism ki
ya inTon mein chuni hui beTiyon ki
bazaron mein tumhaari beTiyan
apne lahu se bhuk gundhti hain
aur apna gosht khati hain
ye tumhaari kaun si aankhen hain
ye tumhaare ghar ki diwar ki kaun si chinai hai
tum ne meri hansi mein taaruf rakkha
aur apne beTe ka nam sikka-e-raij-ul-waqt
aaj tumhaari beTi apni beTiyon se kahti hai
main apni beTi ki zaban daghungi
lahu thukti aurat dhat nahin
chuDiyon ki chor nahin
maidan mera hausla hai
angara meri KHwahish
hum sar pe kafan bandh kar paida hue hain
koi anguThi pahan kar nahin
jise tum chori kar loge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.