aurat
aurat ko samjho na jāgīr apnī
na ye ḳhvāb apnā na ta.abīr apnī
ulajhtī hai ḳhud se ye lāchār ho kar
har ik baat samjhe ye taqsīr apnī
ye kartī hai har ik sitam ko gavārā
banātī hai aise ye taqdīr apnī
satā.egā is ko batā kyā zamāna
sināñ jis kī apnī hai shamshīr apnī
nivāle kī ḳhātir ye hurmat na beche
sañbhāle ye izzat va tauqīr apnī
kare dafn ḳhvāhish ko apne hī hāthoñ
masḳh kyoñ karegī ye tasvīr apnī
shikāyat laboñ pe na lā.egī hargiz
tabī.at rahe chāhe dil-gīr apnī
agar yuuñ hī chaltā rahā silsila to
yaqīnan ye toḌegī zanjīr apnī
aurat ko samjho na jagir apni
na ye KHwab apna na tabir apni
ulajhti hai KHud se ye lachaar ho kar
har ek baat samjhe ye taqsir apni
ye karti hai har ek sitam ko gawara
banati hai aise ye taqdir apni
sataega is ko bata kya zamana
sinan jis ki apni hai shamshir apni
niwale ki KHatir ye hurmat na beche
sanbhaale ye izzat wa tauqir apni
kare dafn KHwahish ko apne hi hathon
masKH kyon karegi ye taswir apni
shikayat labon pe na laegi hargiz
tabiat rahe chahe dil-gir apni
agar yun hi chalta raha silsila to
yaqinan ye toDegi zanjir apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.