aurat
baḌhātī huuñ qadam
fauran hī pīchhe khīñch letī huuñ
ye andesha mujhe aage kabhī baḌhne nahīñ detā
na-jāne log kyā socheñ
na-jāne log kyā boleñ
isī ik ḳhauf ke ghere meñ jiitī aur martī huuñ
magar kab tak
tashaḳhḳhus ke liye apnī zarūrī ho gayā hai ab
uThūñ aur kaaT duuñ ek ek kar ke beḌiyāñ saarī
baġhāvat kar duuñ duniyā kī
sabhī farsūda rasmoñ se
har ik dastūr-e-bejā se
ḳhudā ne jab kisī se merā rutba kam nahīñ rakkhā
to kis ne haq diyā un ko
mujhe zanjīr pahnā.eñ
zabāñ kholūñ jo apne vāste taalā lagā jaa.eñ
mujhe ma.alūm hai merī muqarrar had kahāñ tak hai
mujhe hai paas apnī hurmat-o-qadr-o-rivāyat kā
vafā nāmūs-o-iffat kā sharāfat aur azmat kā
ki ye aqdār mere paañv kī beḌī nahīñ hargiz
inhīñ aqdār ke hamrāh mujh ko aage baḌhnā hai
milā hai haq mujhe bhī
vaqt ke hamrāh chalne kā
ḳhud apne ḳhvāb bunñe kā
inheñ ta.abīr dene kā
ye duniyā mere hāthoñ se qalam jo chhīn letī hai
hamesha chūlhe-chauke tak hī bas mahdūd rakhtī hai
ise shāyad yahī ḳhadsha satātā rahtā hai har-dam
mirī ye āgahī mujh ko na.ī pahchān de degī
baDhati hun qadam
fauran hi pichhe khinch leti hun
ye andesha mujhe aage kabhi baDhne nahin deta
na-jaane log kya sochen
na-jaane log kya bolen
isi ek KHauf ke ghere mein jiti aur marti hun
magar kab tak
tashaKHKHus ke liye apni zaruri ho gaya hai ab
uThun aur kaT dun ek ek kar ke beDiyan sari
baghawat kar dun duniya ki
sabhi farsuda rasmon se
har ek dastur-e-beja se
KHuda ne jab kisi se mera rutba kam nahin rakkha
to kis ne haq diya un ko
mujhe zanjir pahnaen
zaban kholun jo apne waste tala laga jaen
mujhe malum hai meri muqarrar had kahan tak hai
mujhe hai pas apni hurmat-o-qadr-o-riwayat ka
wafa namus-o-iffat ka sharafat aur azmat ka
ki ye aqdar mere panw ki beDi nahin hargiz
inhin aqdar ke hamrah mujh ko aage baDhna hai
mila hai haq mujhe bhi
waqt ke hamrah chalne ka
KHud apne KHwab bunne ka
inhen tabir dene ka
ye duniya mere hathon se qalam jo chhin leti hai
hamesha chulhe-chauke tak hi bas mahdud rakhti hai
ise shayad yahi KHadsha satata rahta hai har-dam
meri ye aagahi mujh ko nai pahchan de degi
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.