aurat
haqdār jis kī huuñ vo mohabbat nahīñ milī
aurat huuñ maiñ mujhe mirī azmat nahīñ milī
vāqif nahīñ hai koī mire iztirāb se
har shaḳhs mujh ko paḌhtā hai apne hisāb se
mujh ko likhā har ek ne apnī kitāb se
jaise bhī jis ne chāhā navāzā ḳhitāb se
vābasta mujh se merī haqīqat nahīñ milī
aurat huuñ maiñ mujhe mirī azmat nahīñ milī
jab chāhā mujh ko ek tavā.if banā diyā
maqsad hī mere janm kā dil se bhulā diyā
phūloñ kī sej dī kabhī mujh ko jalā diyā
siitā banā ke sho.aloñ meñ mujh ko biThā diyā
jiine kī ek pal ko bhī rāhat nahīñ milī
aurat huuñ maiñ mujhe mirī azmat nahīñ milī
pal pal añdherī raat meñ jalnā paḌā bhī hai
mahfil meñ ban ke sham.a pighalnā paḌā bhī hai
girne pe dūsroñ ke sañbhalnā paḌā bhī hai
jhūTī tasallī pā ke bahalnā paḌā bhī hai
vābasta mujh se merī haqīqat nahīñ milī
aurat huuñ maiñ mujhe mirī azmat nahīñ milī
jaanā gayā na mujh ko kabhī mere naam se
rishtoñ meñ mujh ko bāñdhā gayā ehtimām se
nisbat jo log apnī batāte haiñ raam se
ban-bās mujh ko dete haiñ siitā ke naam se
bātoñ meñ aur amal meñ sadāqat nahīñ milī
aurat huuñ maiñ mujhe mirī azmat nahīñ milī
aatā hai zindagī meñ mirī ye bhī hādisa
merī hañsī zamāne ko lagtī hai sāneha
qurbāniyoñ kā miltā hai kuchh is tarah silā
phūloñ ko pā luuñ ḳhushbū se rakkhūñ na vāsta
qismat ke khoTe sikke ko qīmat nahīñ milī
aurat huuñ maiñ mujhe mirī azmat nahīñ milī
maiñ jab nahīñ rahūñgī bhalā kyā kareñge aap
har lamha mere vāste royā kareñge aap
qurbat ko mere pyaar kī DhūñDā kareñge aap
ik hashr is jahān meñ barpā kareñge aap
har-dam yahī kaheñge ki aurat nahīñ milī
aurat huuñ maiñ mujhe mirī azmat nahīñ milī
haqdar jis ki hun wo mohabbat nahin mili
aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili
waqif nahin hai koi mere iztirab se
har shaKHs mujh ko paDhta hai apne hisab se
mujh ko likha har ek ne apni kitab se
jaise bhi jis ne chaha nawaza KHitab se
wabasta mujh se meri haqiqat nahin mili
aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili
jab chaha mujh ko ek tawaif bana diya
maqsad hi mere janm ka dil se bhula diya
phulon ki sej di kabhi mujh ko jala diya
sita bana ke shoalon mein mujh ko biTha diya
jine ki ek pal ko bhi rahat nahin mili
aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili
pal pal andheri raat mein jalna paDa bhi hai
mahfil mein ban ke shama pighalna paDa bhi hai
girne pe dusron ke sanbhalna paDa bhi hai
jhuTi tasalli pa ke bahalna paDa bhi hai
wabasta mujh se meri haqiqat nahin mili
aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili
jaana gaya na mujh ko kabhi mere nam se
rishton mein mujh ko bandha gaya ehtimam se
nisbat jo log apni batate hain ram se
ban-bas mujh ko dete hain sita ke nam se
baaton mein aur amal mein sadaqat nahin mili
aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili
aata hai zindagi mein meri ye bhi hadisa
meri hansi zamane ko lagti hai saneha
qurbaniyon ka milta hai kuchh is tarah sila
phulon ko pa lun KHushbu se rakkhun na wasta
qismat ke khoTe sikke ko qimat nahin mili
aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili
main jab nahin rahungi bhala kya karenge aap
har lamha mere waste roya karenge aap
qurbat ko mere pyar ki DhunDa karenge aap
ek hashr is jahan mein barpa karenge aap
har-dam yahi kahenge ki aurat nahin mili
aurat hun main mujhe meri azmat nahin mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.