aurat
jā rahā hai apnī manzil kī taraf māh-e-tamām
jaise qabroñ ke mujāvir jaise masjid ke imaam
ḳhānqāhoñ meñ huā kartā hai jaise bil-umūm
shaiḳh kī ḳhidmat meñ hāzir hai murīdoñ kā hujūm
is tarah mehrāb meñ rakkhī hai ilhāmī kitāb
jaise ik zāhid kā īmāñ jaise ik baasī gulāb
taaq meñ rakkhī huī hai ik taraf ik jā-namāz
uud kī ḳhushbū se hai mahkā huā har pāk-bāz
mahv hai zikr-e-ḳhafī meñ zāhid-e-shab zinda-dār
baiThe baiThe chauñk paḌtā hai magar be-iḳhtiyār
piir sāhab hī nahīñ har shaḳhs hai khoyā huā
nā-gahāñ un meñ se ik yuuñ bā-adab goyā huā
hādī-e-rāh-e-tarīqat murshid-e-raushan-zamīr
āsmān-e-azm-o-istiqlāl ke mehr-e-munīr
kyā kabhī aurat kā nazzāra bhī kar saktā huuñ maiñ
kyā kabhī is raah se āsāñ guzar saktā huuñ maiñ
dekhnā us kī taraf hargiz na ai mard-e-javāñ
varna miT jā.egā peshānī se sajde kā nishāñ
aap kā irshād sar-āñkhoñ pe lekin Dar ye hai
chubh na jaa.e phāñs ban kar dil meñ ye nāzuk sī shai
yaad rakh dil par na hone paa.e aurat kā asar
muskurā.e bhī agar āñkhoñ meñ āñkheñ Daal kar
ik zarā sī baat hī kar luuñ to kyā ho jā.egā
bas yahī nā aap sā rahbar ḳhafā ho jā.egā
tujh ko apnī fikr karnī chāhiye har haal meñ
achchhe achchhe log aa jaate haiñ is kī chaal meñ
is pe la.anat ho ḳhudā kī ye hai shaitānoñ kī raah
saiñkaḌoñ mardoñ ko kar detī hai ik pal meñ tabāh
guftugū ye ḳhatm hone bhī na paa.ī thī abhī
ek aurat god meñ bachcha liye dāḳhil huī
piir ghabrā.e murīdoñ ko pasīna aa gayā
zindagī kā har taḳhayyul maut ban kar chhā gayā
ja raha hai apni manzil ki taraf mah-e-tamam
jaise qabron ke mujawir jaise masjid ke imam
KHanqahon mein hua karta hai jaise bil-umum
shaiKH ki KHidmat mein hazir hai muridon ka hujum
is tarah mehrab mein rakkhi hai ilhami kitab
jaise ek zahid ka iman jaise ek basi gulab
taq mein rakkhi hui hai ek taraf ek ja-namaz
ud ki KHushbu se hai mahka hua har pak-baz
mahw hai zikr-e-KHafi mein zahid-e-shab zinda-dar
baiThe baiThe chaunk paDta hai magar be-iKHtiyar
pir sahab hi nahin har shaKHs hai khoya hua
na-gahan un mein se ek yun ba-adab goya hua
hadi-e-rah-e-tariqat murshid-e-raushan-zamir
aasman-e-azm-o-istiqlal ke mehr-e-munir
kya kabhi aurat ka nazzara bhi kar sakta hun main
kya kabhi is rah se aasan guzar sakta hun main
dekhna us ki taraf hargiz na ai mard-e-jawan
warna miT jaega peshani se sajde ka nishan
aap ka irshad sar-ankhon pe lekin Dar ye hai
chubh na jae phans ban kar dil mein ye nazuk si shai
yaad rakh dil par na hone pae aurat ka asar
muskurae bhi agar aankhon mein aankhen Dal kar
ek zara si baat hi kar lun to kya ho jaega
bas yahi na aap sa rahbar KHafa ho jaega
tujh ko apni fikr karni chahiye har haal mein
achchhe achchhe log aa jate hain is ki chaal mein
is pe lanat ho KHuda ki ye hai shaitanon ki rah
sainkaDon mardon ko kar deti hai ek pal mein tabah
guftugu ye KHatm hone bhi na pai thi abhi
ek aurat god mein bachcha liye daKHil hui
pir ghabrae muridon ko pasina aa gaya
zindagi ka har taKHayyul maut ban kar chha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.