aurat ki taKHliq
ġhuncha-o-gul kī nik.hat churā.ī ga.ī
bijliyoñ kī harārat churā.ī ga.ī
gulistāñ kī havāoñ ko dhunkā gayā
bulbuloñ kī sadāoñ ko dhunkā gayā
barf ko barq pāroñ ko piisā gayā
abr ko chāñd tāroñ ko piisā gayā
kohsār-o-gulistāñ tarāshe ga.e
lāl-o-yāqūt-o-marjāñ tarāshe ga.e
chāñdnī-rāt kā husn chhīnā gayā
kahkashāñ ke piyāle meñ gūñdhā gayā
zindagānī ke ruḳhsār dho.e ga.e
shādmānī ke motī piro.e ga.e
āhanī shāhrāheñ galā.ī ga.iiñ
shabnamī shāhrāheñ bichā.ī ga.iiñ
māh-e-nau kī shuāoñ ko chhānā gayā
āsmānoñ zamīnoñ ko dhoyā gayā
zamzamoñ ke samundar ḳhañghāle ga.e
ārzūoñ ke motī nikāle ga.e
dil-navāzī kā jazba ubhārā gayā
naujavānī kā chehra nikhārā gayā
shāḳh-e-gul kī nazākat ubālī ga.ī
narm bāñhoñ ke sāñche meñ Dhālī ga.ī
aur phir sab ko ik jā milāyā gayā
gūñdh kar ek putlā banāyā gayā
muddatoñ chāñd-tāroñ meñ paalā gayā
phir vo aurat ke sāñche meñ Dhālā gayā
har kalī baaġh meñ raqs karne lagī
zehn meñ koī sūrat ubharne lagī
ek āvāz aa.ī ki aurat huuñ maiñ
barq huuñ zalzala huuñ qayāmat huuñ maiñ
sun ke āvāz sajde meñ sab jhuk ga.e
āñdhiyāñ tham ga.iiñ zalzale ruk ga.e
chūḌiyāñ sī havā meñ khanakne lagīñ
chhāgaleñ sī fazā meñ chhanakne lagīñ
shiddat-e-shauq se aag paanī huī
kohsāroñ kī poshāk dhānī huī
narm shāḳheñ chaman meñ lachakne lagīñ
ārzūoñ kī kaliyāñ chaTakne lagīñ
phir vo āvāz ghuñghaT se aane lagī
shiddat-e-shauq ko āzmāne lagī
aur ghuñghaT jo ruḳh se sarakne lagā
aadmī kyā ḳhudā bhī bahakne lagā
zulf bikhrī to shab kā añdherā huā
muskurā.ī to pahlā saverā huā
aañkh bikhrī to shab kā añdherā huā
muskurā.ī to pahlā saverā huā
aañkh uThā.ī to motī se barsā ga.ī
saañs lī to har ik shai meñ jaan aa ga.ī
barbat-e-ġham se naġhme nikalne lage
zindagānī ke chashme ubalne lage
ishq ne baḌh ke qadmoñ pe sajda kiyā
dahr kī samt use phir ravāna kiyā
ghuncha-o-gul ki nikhat churai gai
bijliyon ki hararat churai gai
gulistan ki hawaon ko dhunka gaya
bulbulon ki sadaon ko dhunka gaya
barf ko barq paron ko pisa gaya
abr ko chand taron ko pisa gaya
kohsar-o-gulistan tarashe gae
lal-o-yaqut-o-marjaan tarashe gae
chandni-raat ka husn chhina gaya
kahkashan ke piyale mein gundha gaya
zindagani ke ruKHsar dhoe gae
shadmani ke moti piroe gae
aahani shahrahen galai gain
shabnami shahrahen bichai gain
mah-e-nau ki shuaon ko chhana gaya
aasmanon zaminon ko dhoya gaya
zamzamon ke samundar KHanghaale gae
aarzuon ke moti nikale gae
dil-nawazi ka jazba ubhaara gaya
naujawani ka chehra nikhaara gaya
shaKH-e-gul ki nazakat ubaali gai
narm banhon ke sanche mein Dhaali gai
aur phir sab ko ek ja milaya gaya
gundh kar ek putla banaya gaya
muddaton chand-taron mein pala gaya
phir wo aurat ke sanche mein Dhaala gaya
har kali bagh mein raqs karne lagi
zehn mein koi surat ubharne lagi
ek aawaz aai ki aurat hun main
barq hun zalzala hun qayamat hun main
sun ke aawaz sajde mein sab jhuk gae
aandhiyan tham gain zalzale ruk gae
chuDiyan si hawa mein khanakne lagin
chhagalen si faza mein chhanakne lagin
shiddat-e-shauq se aag pani hui
kohsaron ki poshak dhani hui
narm shaKHen chaman mein lachakne lagin
aarzuon ki kaliyan chaTakne lagin
phir wo aawaz ghunghaT se aane lagi
shiddat-e-shauq ko aazmane lagi
aur ghunghaT jo ruKH se sarakne laga
aadmi kya KHuda bhi bahakne laga
zulf bikhri to shab ka andhera hua
muskurai to pahla sawera hua
aankh bikhri to shab ka andhera hua
muskurai to pahla sawera hua
aankh uThai to moti se barsa gai
sans li to har ek shai mein jaan aa gai
barbat-e-gham se naghme nikalne lage
zindagani ke chashme ubalne lage
ishq ne baDh ke qadmon pe sajda kiya
dahr ki samt use phir rawana kiya
- Naye Tarane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.