aurat kutta aur paDos
ik hasīñ sī aurat
apne narm chehre ko
muztarib sā rakhtī hai
jis ke fiqre fiqre meñ
gūñjtī hai jhillahaT
apne ghar ke āñgan meñ
jab Tahalne aatī hai
duur se agar koī
dekh le zarā us ko
yā koī guzar jaa.e
us ke ghar ke aage se
nāk-bhauñ chaḌātī hai
aur baḌbaḌātī hai
lekin apne kutte ko
pyaar se bulātī hai
aur lagā ke chhātī se
chuum chuum letī hai
us kā muztarib chehra
surḳh hotā jaatā hai
aur dekhne vaale
apne ghar kī khiḌkī se
chhup ke dekh lete haiñ
koī apne kamre se
bāhar aa nahīñ saktā
har paḌosī Dartā hai
us hasīn aurat kī
lamha kī masarrat bhī
us se chhin ga.ī to phir!
ek hasin si aurat
apne narm chehre ko
muztarib sa rakhti hai
jis ke fiqre fiqre mein
gunjti hai jhillahaT
apne ghar ke aangan mein
jab Tahalne aati hai
dur se agar koi
dekh le zara us ko
ya koi guzar jae
us ke ghar ke aage se
nak-bhaun chaDati hai
aur baDbaDati hai
lekin apne kutte ko
pyar se bulati hai
aur laga ke chhati se
chum chum leti hai
us ka muztarib chehra
surKH hota jata hai
aur dekhne wale
apne ghar ki khiDki se
chhup ke dekh lete hain
koi apne kamre se
bahar aa nahin sakta
har paDosi Darta hai
us hasin aurat ki
lamha ki masarrat bhi
us se chhin gai to phir!
- Book : Kulliyat-e-bani (Pg. 111)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.