aurat
lazzat-e-dīd se dekhoge machal jāoge
aag huuñ haath lagāoge to jal jāoge
mom patthar ko banā duuñ vo asar rakhtī huuñ
paañv sho.aloñ pe to talvār pe sar rakhtī huuñ
ye bahāreñ ye umañgeñ ye masarrat ye shabāb
ye shafaq-rañg manāzir ye shagūfe ye gulāb
ye navāzish ye ināyāt kahāñ pāoge
rab se baḳhshī huī sauġhāt kahāñ pāoge
merī zulfoñ hī kī barsāt se sairāb ho tum
phuul kī tarah mire saa.e meñ shādāb ho tum
ye bhī sach hai ki bayābāñ meñ gulistāñ huuñ maiñ
muztarib ruuh kī taskīn kā sāmāñ huuñ maiñ
muḳhtasar ye ki mujhe pyaar se pā sakte ho
tum mire dil ke gulistān meñ aa sakte ho
gar mirī zaat kā irfān tumheñ mil jaa.e
ye zamīñ kyā hai āsmān tumheñ mil jaa.e
haisiyat kyā hai mirī aur haqīqat kyā hai
maiñ batātī huuñ tumheñ merī fazīlat kyā hai
ek aadam ke alāva koī insān na thā
maiñ na hotī to tumhārā koī imkān na thā
lazzat-e-did se dekhoge machal jaoge
aag hun hath lagaoge to jal jaoge
mom patthar ko bana dun wo asar rakhti hun
panw shoalon pe to talwar pe sar rakhti hun
ye bahaaren ye umangen ye masarrat ye shabab
ye shafaq-rang manazir ye shagufe ye gulab
ye nawazish ye inayat kahan paoge
rab se baKHshi hui saughat kahan paoge
meri zulfon hi ki barsat se sairab ho tum
phul ki tarah mere sae mein shadab ho tum
ye bhi sach hai ki bayaban mein gulistan hun main
muztarib ruh ki taskin ka saman hun main
muKHtasar ye ki mujhe pyar se pa sakte ho
tum mere dil ke gulistan mein aa sakte ho
gar meri zat ka irfan tumhein mil jae
ye zamin kya hai aasman tumhein mil jae
haisiyat kya hai meri aur haqiqat kya hai
main batati hun tumhein meri fazilat kya hai
ek aadam ke alawa koi insan na tha
main na hoti to tumhaara koi imkan na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.