aurat
maiñ ne 'rūmī' se kahā mujh ko batā
reñgtā kiiḌā huuñ ki shahbāz-e-dost
maiñ huuñ mahrūm-e-samā.at aaj tak
aaj tak huuñ shākī-e-aġhrāz-e-dost
mujh pe nāzil na huī koī kitāb
kyoñ na thī maiñ lā.eq-e-e.azāz-e-dost
hañs ke 'rūmī' ne kahā nādān sun
aa karūñ tujh pe ayaañ maiñ rāz-e-dost
us kī manzūrī tirā qalb-e-salīm
ye parinda aur tū parvāz-e-dost
raqs terā hī hai raqs-e-kā.enāt
vo muġhannī aur tū hai sāz-e-dost
us ke hāthoñ ne uThā.ī hai kamāñ
tiir us kā aur tū andāz-e-dost
ruuh ke andar kā manzar al-amāñ
naaz vaalā vo hai aur tū nāz-e-dost
gar tū mahrūm-e-samā.at hai to phir
az-kujā mī aayad iiñ āvāz-e-dost
main ne 'rumi' se kaha mujh ko bata
rengta kiDa hun ki shahbaz-e-dost
main hun mahrum-e-samaat aaj tak
aaj tak hun shaki-e-aghraaz-e-dost
mujh pe nazil na hui koi kitab
kyon na thi main laeq-e-eazaz-e-dost
hans ke 'rumi' ne kaha nadan sun
aa karun tujh pe ayan main raaz-e-dost
us ki manzuri tera qalb-e-salim
ye parinda aur tu parwaz-e-dost
raqs tera hi hai raqs-e-kaenat
wo mughanni aur tu hai saz-e-dost
us ke hathon ne uThai hai kaman
tir us ka aur tu andaz-e-dost
ruh ke andar ka manzar al-aman
naz wala wo hai aur tu naz-e-dost
gar tu mahrum-e-samaat hai to phir
az-kuja mi aayad in aawaz-e-dost
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.