aurat nama
kis kī aarzū thī maiñ
kis kī ho ga.ī huuñ maiñ
ki ḳhud ko bhī nahīñ miltī
kahīñ to kho ga.ī huuñ maiñ
yahī thī chāhtī kahnā
kuchh aur hī kah ga.ī huuñ maiñ
farā.ez tere parche meñ
saf-e-avval rahī huuñ maiñ
rahīn-e-āshiqī huuñ maiñ
musalsal TukḌoñ meñ jī kar
musalsal mar rahī huuñ maiñ
hai sab se ittifāq apnā
ki ḳhud se laḌ rahī huuñ maiñ
ye izzat bojh hai shāyad
jahāñ par dab ga.ī huuñ maiñ
har ik shab jāgte guzrī
ki sone kab ga.ī huuñ maiñ
sadā tahzīb bhī huuñ maiñ
sadā tahrīk bhī huuñ maiñ
kabhī tū ġhaur to kar le
kahīñ tafrīq bhī huuñ maiñ
kabhī bezār bhī huuñ maiñ
kabhī ġham-ḳhvār bhī huuñ maiñ
agar kuchh vaqt paḌ jaa.e
suno talvār bhī huuñ maiñ
khaḌī hai jo ki tūfāñ meñ
vahī chaTTān bhī huuñ maiñ
mukammal ek nāzuk sā
koī gul-dān bhī huuñ maiñ
ai ibn-e-ādam-e-dāvar
Khayāl-e-bint-e-havvā kar
kis ki aarzu thi main
kis ki ho gai hun main
ki KHud ko bhi nahin milti
kahin to kho gai hun main
yahi thi chahti kahna
kuchh aur hi kah gai hun main
faraez tere parche mein
saf-e-awwal rahi hun main
rahin-e-ashiqi hun main
musalsal TukDon mein ji kar
musalsal mar rahi hun main
hai sab se ittifaq apna
ki KHud se laD rahi hun main
ye izzat bojh hai shayad
jahan par dab gai hun main
har ek shab jagte guzri
ki sone kab gai hun main
sada tahzib bhi hun main
sada tahrik bhi hun main
kabhi tu ghaur to kar le
kahin tafriq bhi hun main
kabhi bezar bhi hun main
kabhi gham-KHwar bhi hun main
agar kuchh waqt paD jae
suno talwar bhi hun main
khaDi hai jo ki tufan mein
wahi chaTTan bhi hun main
mukammal ek nazuk sa
koi gul-dan bhi hun main
ai ibn-e-adam-e-dawar
Khayal-e-bint-e-hawwa kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.