aurat
tū ne mere dukh kī ḳhātir
kitne rañj sahe
apnī god meñ tū ne mujh ko
apne lahū kī chāñdnī baḳhshī
maiñ ik chāñd banā
jis ne dhartī se ye ghor bhayānak añdhiyāroñ kā ḳhauf miTāyā
jab tū zīnat hajla banī
tū ne apne ḳhuun kī ātish mujh ko baḳhshī
maiñ ik sūraj ban kar chamkā
jis kī dhuup meñ merī ruuh kā qaidī shāhīñ
naag ke phande se chhūTā
tū jab aa.ī
mere jigar kī ThanDak ban kar
tū ne merī aag pe apne aañsū bikhere
merī aag meñ phuul uge
maiñ ik shā.ir
apne fan kī afshāñ le kar
terī maañg sajāne aayā
tu ne mere dukh ki KHatir
kitne ranj sahe
apni god mein tu ne mujh ko
apne lahu ki chandni baKHshi
main ek chand bana
jis ne dharti se ye ghor bhayanak andhiyaron ka KHauf miTaya
jab tu zinat hajla bani
tu ne apne KHun ki aatish mujh ko baKHshi
main ek suraj ban kar chamka
jis ki dhup mein meri ruh ka qaidi shahin
nag ke phande se chhuTa
tu jab aai
mere jigar ki ThanDak ban kar
tu ne meri aag pe apne aansu bikhere
meri aag mein phul uge
main ek shair
apne fan ki afshan le kar
teri mang sajaane aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.