khilāḌiyoñ ke ḳhud-navisht dastaḳhat ke vāste
kitābche liye hue
khaḌī haiñ muntazir hasīn laḌkiyāñ
Dhalakte āñchaloñ se be-ḳhabar hasīn laḌkiyāñ
muhīb phāTakoñ ke Dolte kivāḌ chīḳh uThe
ubal paḌe ulajhte bāzuoñ chaTaḳhtī pisliyoñ ke pur-hirās qāfile
gire baḌhe muḌe bhañvar hujūm ke
khaḌī haiñ ye bhī rāste pe ik taraf
bayāz-e-ārzū ba-kaf
nazar nazar meñ nā-rasā parstishoñ kī dāstāñ
laraz rahā hai dam-ba-dam
kamān-e-abruvāñ kā ḳham
koī jab ek nāz-e-be-niyāz se
kitābchoñ pe khiñchtā chalā gayā
Hurūf-e-kaj-tarāsh kī lakīr sī
to tham ga.iiñ laboñ pe muskurāhaTeñ sharīr sī
kisī aziim shaḳhsiyat kī tamkanat
hinā.ī uñgliyoñ meñ kāñpte varaq pe jhuk ga.ī
to zar-nigār pallvoñ se jhāñktī kalā.iyoñ kī tez nabz ruk ga.ī
vo bolar ek mah-vashoñ ke jamghaToñ meñ ghir gayā
vo safha-e-bayāz par ba-sad-ġhurūr kilk-e-gauharīñ phirī
hasīn khilkhilāhaToñ ke darmiyāñ wicket girī
maiñ ajnabī maiñ be-nishāñ
maiñ pā-ba-gil
na rif.at-e-maqām hai na shohrat-e-davām hai
ye lauh-e-dil ye lauh-e-dam
na is pe koī naqsh hai na is pe koī naam hai
khilaDiyon ke KHud-nawisht dastaKHat ke waste
kitabche liye hue
khaDi hain muntazir hasin laDkiyan
Dhalakte aanchalon se be-KHabar hasin laDkiyan
muhib phaTakon ke Dolte kiwaD chiKH uThe
ubal paDe ulajhte bazuon chaTaKHti pisliyon ke pur-hiras qafile
gire baDhe muDe bhanwar hujum ke
khaDi hain ye bhi raste pe ek taraf
bayaz-e-arzu ba-kaf
nazar nazar mein na-rasa parstishon ki dastan
laraz raha hai dam-ba-dam
kaman-e-abruwan ka KHam
koi jab ek naz-e-be-niyaz se
kitabchon pe khinchta chala gaya
Huruf-e-kaj-tarash ki lakir si
to tham gain labon pe muskurahaTen sharir si
kisi azim shaKHsiyat ki tamkanat
hinai ungliyon mein kanpte waraq pe jhuk gai
to zar-nigar pallwon se jhankti kalaiyon ki tez nabz ruk gai
wo bolar ek mah-washon ke jamghaTon mein ghir gaya
wo safha-e-bayaz par ba-sad-ghurur kilk-e-gauharin phiri
hasin khilkhilahaTon ke darmiyan wicket giri
main ajnabi main be-nishan
main pa-ba-gil
na rifat-e-maqam hai na shohrat-e-dawam hai
ye lauh-e-dil ye lauh-e-dam
na is pe koi naqsh hai na is pe koi nam hai
Autograph - Majeed Amjad
Nomaan Shauque
Source :
- Book : Kulliyaat-e-majiid Amjad (Pg. 153)
- Author : Majiid Amjad
-
Publication : Farid Book Depot (p) Ltd.
(2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.