ayaadat
ye kaun aa gayā ruḳh-e-ḳhandāñ liye hue
aariz pe rañg-o-nūr kā tūfāñ liye hue
bīmār ke qarīb ba-sad-shān-e-ehtiyāt
dildārī-e-nasīm-e-bahārāñ liye hue
ruḳhsār par latīf sī ik mauj-e-sar-ḳhushī
lab par hañsī kā narm sā tūfāñ liye hue
peshānī-e-jamīl pe anvār-e-tamkanat
tābindagī-e-sub.h-e-daraḳhshāñ liye hue
zulfoñ ke pech-o-ḳham meñ bahāreñ chhupī huī
ik kārvān-e-nikhat-e-bustāñ liye hue
aa hī gayā vo merā nigār-e-nazar-navāz
zulmat-kade meñ sham-e-farozāñ liye hue
ik ik adā meñ saikaḌoñ pahlū-e-dildahī
ik ik nazar meñ pursish-e-pinhāñ liye hue
mere savād-e-shauq kā ḳhurshīd-e-nīm-shab
azm-e-shikast-e-māh-jabīnāñ liye hue
dars-e-sukūn-o-sabr ba-īñ ehtamām-e-nāz
nishtar-zanī-e-jumbish-e-mizhgāñ liye hue
āñkhoñ se ek rau sī nikaltī huī har aan
ġharqābī-e-hayāt kā sāmāñ liye hue
hiltī huī nigāh meñ bijlī bharī huī
khilte hue laboñ meñ gulistāñ liye hue
ye kaun hai 'majāz' se sar-garm-e-guftugū
donoñ hatheliyoñ pe zanaḳhdāñ liye hue
ye kaun aa gaya ruKH-e-KHandan liye hue
aariz pe rang-o-nur ka tufan liye hue
bimar ke qarib ba-sad-shan-e-ehtiyat
dildari-e-nasim-e-bahaaran liye hue
ruKHsar par latif si ek mauj-e-sar-KHushi
lab par hansi ka narm sa tufan liye hue
peshani-e-jamil pe anwar-e-tamkanat
tabindagi-e-subh-e-daraKHshan liye hue
zulfon ke pech-o-KHam mein bahaaren chhupi hui
ek karwan-e-nikhat-e-bustan liye hue
aa hi gaya wo mera nigar-e-nazar-nawaz
zulmat-kade mein sham-e-farozan liye hue
ek ek ada mein saikaDon pahlu-e-dildahi
ek ek nazar mein pursish-e-pinhan liye hue
mere sawad-e-shauq ka KHurshid-e-nim-shab
azm-e-shikast-e-mah-jabinan liye hue
dars-e-sukun-o-sabr ba-in ehtamam-e-naz
nishtar-zani-e-jumbish-e-mizhgan liye hue
aankhon se ek rau si nikalti hui har aan
gharqabi-e-hayat ka saman liye hue
hilti hui nigah mein bijli bhari hui
khilte hue labon mein gulistan liye hue
ye kaun hai 'majaz' se sar-garm-e-guftugu
donon hatheliyon pe zanaKHdan liye hue
- Book : Kulliyaat-e-Majaz (Pg. 158)
- Author : Asrarul Haque Majaz
- Publication : Kitabi Duniya 1955 Gali Nawab Mirza Mohalla Qabristan Turkman Gate Delhi-6 (India) (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.