az-sar-e-nau
tujhe chhū kar bahār aa.ī thī
kunj-e-ġham meñ barsā thā
tire aane se sāvan
chāñdnī chhiTkī thī
phūlī thī shafaq
bolī thī koyal dekh kar tujh ko
amal ye saañs lene kā bahut āsāñ huā thā
khel sā lagne lagā thā
āzmā.ish se guzarnā
karzār-e-zīst meñ, din raat kartā
ab... magar
phir ibtidā se
kāvish-e-paiham meñ
ghūme jā rahe haiñ
vaqt ke pahiye
na.e taklīf-dah āġhāz se ham ko guzarnā paḌ rahā hai phir...
tujhe chhu kar bahaar aai thi
kunj-e-gham mein barsa tha
tere aane se sawan
chandni chhiTki thi
phuli thi shafaq
boli thi koyal dekh kar tujh ko
amal ye sans lene ka bahut aasan hua tha
khel sa lagne laga tha
aazmaish se guzarna
karzar-e-zist mein, din raat karta
ab magar
phir ibtida se
kawish-e-paiham mein
ghume ja rahe hain
waqt ke pahiye
nae taklif-dah aaghaz se hum ko guzarna paD raha hai phir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.